shauq barhana-pa chalta tha aur raaste pathreeli the | शौक़ बरहना-पा चलता था और रस्ते पथरीले थे

  - Ghulam Mohammad Qasir

shauq barhana-pa chalta tha aur raaste pathreeli the
ghisate ghisate ghis gaye aakhir kankar jo nokiile the

khaar-e-chaman the shabnam shabnam phool bhi saare geelay the
shaakh se toot ke girne waale patte phir bhi peele the

sard hawaon se to the saahil ke ret ke yaaraane
loo ke thapede sahne waale seharaaon ke teele the

taabinda taaron ka tohfa subh ki khidmat mein pahuncha
raat ne chaand ki nazr kiye jo taare kam chamkeele the

saare sapere veeraanon mein ghoom rahe hain been liye
aabaadi mein rahne waale saanp bade zahreeli the

tum yun hi naaraz hue ho warna may-khaane ka pata
ham ne har us shakhs se poocha jis ke nain nasheele the

kaun ghulaam mohammad qasir bechaare se karta baat
ye chaalaakon ki basti thi aur hazrat maik the

शौक़ बरहना-पा चलता था और रस्ते पथरीले थे
घिसते घिसते घिस गए आख़िर कंकर जो नोकीले थे

ख़ार-ए-चमन थे शबनम शबनम फूल भी सारे गीले थे
शाख़ से टूट के गिरने वाले पत्ते फिर भी पीले थे

सर्द हवाओं से तो थे साहिल के रेत के याराने
लू के थपेड़े सहने वाले सहराओं के टीले थे

ताबिंदा तारों का तोहफ़ा सुब्ह की ख़िदमत में पहुँचा
रात ने चाँद की नज़्र किए जो तारे कम चमकीले थे

सारे सपेरे वीरानों में घूम रहे हैं बीन लिए
आबादी में रहने वाले साँप बड़े ज़हरीले थे

तुम यूँ ही नाराज़ हुए हो वर्ना मय-ख़ाने का पता
हम ने हर उस शख़्स से पूछा जिस के नैन नशीले थे

कौन ग़ुलाम मोहम्मद 'क़ासिर' बेचारे से करता बात
ये चालाकों की बस्ती थी और हज़रत शर्मीले थे

  - Ghulam Mohammad Qasir

Anjam Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ghulam Mohammad Qasir

As you were reading Shayari by Ghulam Mohammad Qasir

Similar Writers

our suggestion based on Ghulam Mohammad Qasir

Similar Moods

As you were reading Anjam Shayari Shayari