biyaabaan door tak main ne sajaaya tha
magar vo shehar ke raaste se aaya tha
diye ki aarzoo ko jab bujhaaya tha
phir us ke baad aahat thi na saaya tha
use jab dekhne ke baad dekha to
vo khud bhi dil hi dil mein muskuraya tha
dil-o-deewaar the ik naam ki zad par
kahi likhkhá kahi main ne mitaaya tha
hazaaron is mein rahne ke liye aaye
makaan main ne tasavvur mein banaya tha
jahaan ne mujh ko pehle hi khabar kar di
kabootar der se paighaam laaya tha
chale mallaah kashti geet ummeedein
ki jaise sab ko saahil ne bulaaya tha
बयाबाँ दूर तक मैं ने सजाया था
मगर वो शहर के रस्ते से आया था
दिए की आरज़ू को जब बुझाया था
फिर उस के बाद आहट थी न साया था
उसे जब देखने के बाद देखा तो
वो ख़ुद भी दिल ही दिल में मुस्कुराया था
दिल-ओ-दीवार थे इक नाम की ज़द पर
कहीं लिख्खा कहीं मैं ने मिटाया था
हज़ारों इस में रहने के लिए आए
मकाँ मैं ने तसव्वुर में बनाया था
जहाँ ने मुझ को पहले ही ख़बर कर दी
कबूतर देर से पैग़ाम लाया था
चले मल्लाह कश्ती गीत उम्मीदें
कि जैसे सब को साहिल ने बुलाया था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ghulam Mohammad Qasir
our suggestion based on Ghulam Mohammad Qasir
As you were reading Dil Shayari Shayari