kahi to gard ude ya kahi ghubaar dikhe | कहीं तो गर्द उड़े या कहीं ग़ुबार दिखे

  - Gulzar

kahi to gard ude ya kahi ghubaar dikhe
kahi se aata hua koi shehsawaar dikhe

khafa thi shaakh se shaayad ki jab hawa guzri
zameen pe girte hue phool be-shumaar dikhe

ravaan hain phir bhi ruke hain wahin pe sadiyon se
bade udaas lage jab bhi aabshaar dikhe

kabhi to chaunk ke dekhe koi hamaari taraf
kisi ki aankh mein ham ko bhi intizaar dikhe

koi tilismi sifat thi jo is hujoom mein vo
hue jo aankh se ojhal to baar baar dikhe

कहीं तो गर्द उड़े या कहीं ग़ुबार दिखे
कहीं से आता हुआ कोई शहसवार दिखे

ख़फ़ा थी शाख़ से शायद कि जब हवा गुज़री
ज़मीं पे गिरते हुए फूल बे-शुमार दिखे

रवाँ हैं फिर भी रुके हैं वहीं पे सदियों से
बड़े उदास लगे जब भी आबशार दिखे

कभी तो चौंक के देखे कोई हमारी तरफ़
किसी की आँख में हम को भी इंतिज़ार दिखे

कोई तिलिस्मी सिफ़त थी जो इस हुजूम में वो
हुए जो आँख से ओझल तो बार बार दिखे

  - Gulzar

Aankhein Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Gulzar

As you were reading Shayari by Gulzar

Similar Writers

our suggestion based on Gulzar

Similar Moods

As you were reading Aankhein Shayari Shayari