phoolon ki tarah lab khol kabhi
khushboo ki zabaan mein bol kabhi
alfaaz parkhta rehta hai
awaaz hamaari tol kabhi
anmol nahin lekin phir bhi
pooch to muft ka mol kabhi
khidki mein kati hain sab raatein
kuchh chaurs theen kuchh gol kabhi
ye dil bhi dost zameen ki tarah
ho jaata hai daawa-dol kabhi
फूलों की तरह लब खोल कभी
ख़ुशबू की ज़बाँ में बोल कभी
अल्फ़ाज़ परखता रहता है
आवाज़ हमारी तोल कभी
अनमोल नहीं लेकिन फिर भी
पूछ तो मुफ़्त का मोल कभी
खिड़की में कटी हैं सब रातें
कुछ चौरस थीं कुछ गोल कभी
ये दिल भी दोस्त ज़मीं की तरह
हो जाता है डाँवा-डोल कभी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Gulzar
our suggestion based on Gulzar
As you were reading Dil Shayari Shayari