vo jo shayar tha
vo jo shayar tha chup-sa rehta tha
bahki-bahki-si baatein karta tha
aankhen kaanon pe rakh ke sunta tha
goongi khaamoshiyon ki aawaazen
jama karta tha chaand ke saaye
aur geeli si noor ki boonden
rukhe-rukhe se raat ke patte
ook mein bhar ke kharkhaata tha
waqt ke is ghanere jungle mein
kacche-pakke se lamhe chunta tha
haan wahi vo ajeeb sa shayar
raat ko uth ke kohniyon ke bal
chaand ki thodi chooma karta tha
chaand se gir ke mar gaya hai vo
log kahte hain khudkushi ki hai
वो जो शायर था
वो जो शायर था चुप-सा रहता था
बहकी-बहकी-सी बातें करता था
आँखें कानों पे रख के सुनता था
गूँगी खामोशियों की आवाज़ें!
जमा करता था चाँद के साए
और गीली- सी नूर की बूँदें
रूखे-रूखे- से रात के पत्ते
ओक में भर के खरखराता था
वक़्त के इस घनेरे जंगल में
कच्चे-पक्के से लम्हे चुनता था
हाँ वही, वो अजीब- सा शायर
रात को उठ के कोहनियों के बल
चाँद की ठोड़ी चूमा करता था
चाँद से गिर के मर गया है वो
लोग कहते हैं ख़ुदकुशी की है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Gulzar
our suggestion based on Gulzar
As you were reading Andhera Shayari Shayari