ye aur baat teri gali mein na aayein ham
lekin ye kya ki shehar tira chhod jaayen ham
muddat hui hai koo-e-butaan ki taraf gaye
aawaargi se dil ko kahaan tak bachaayein ham
shaayad b-qaid-e-zeest ye saaat na aa sake
tum daastaan-e-shauq suno aur sunaayein ham
be-noor ho chuki hai bahut shehar ki fazaa
tareek raaston mein kahi kho na jaayen ham
us ke baghair aaj bahut jee udaas hai
jaalib chalo kahi se use dhoondh laayein ham
ये और बात तेरी गली में न आएँ हम
लेकिन ये क्या कि शहर तिरा छोड़ जाएँ हम
मुद्दत हुई है कू-ए-बुताँ की तरफ़ गए
आवारगी से दिल को कहाँ तक बचाएँ हम
शायद ब-क़ैद-ए-ज़ीस्त ये साअत न आ सके
तुम दास्तान-ए-शौक़ सुनो और सुनाएँ हम
बे-नूर हो चुकी है बहुत शहर की फ़ज़ा
तारीक रास्तों में कहीं खो न जाएँ हम
उस के बग़ैर आज बहुत जी उदास है
'जालिब' चलो कहीं से उसे ढूँढ लाएँ हम
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Habib Jalib
our suggestion based on Habib Jalib
As you were reading Shahr Shayari Shayari