hariyaali ko aankhen tarsen bagiya lahooluhaan
pyaar ke geet sunaau kis ko shehar hue veeraan
bagiya lahooluhaan
dasti hain suraj ki kirnen chaand jalaae jaan
pag pag maut ke gehre saaye jeevan maut samaan
chaaron or hawa phirti hai le ke teer kamaan
bagiya lahooluhaan
chhalni hain kaliyon ke seene khoon mein lat-pat paat
aur na jaane kab tak hogi ashkon ki barsaat
duniya waalo kab beetenge dukh ke ye din-raat
khoon se holi khel rahe hain dharti ke balwaan
bagiya lahooluhaan
हरियाली को आँखें तरसें बगिया लहूलुहान
प्यार के गीत सुनाऊँ किस को शहर हुए वीरान
बगिया लहूलुहान
डसती हैं सूरज की किरनें चाँद जलाए जान
पग पग मौत के गहरे साए जीवन मौत समान
चारों ओर हवा फिरती है ले के तीर कमान
बगिया लहूलुहान
छलनी हैं कलियों के सीने ख़ून में लत-पत पात
और न जाने कब तक होगी अश्कों की बरसात
दुनिया वालो कब बीतेंगे दुख के ये दिन-रात
ख़ून से होली खेल रहे हैं धरती के बलवान
बगिया लहूलुहान
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Habib Jalib
our suggestion based on Habib Jalib
As you were reading Duniya Shayari Shayari