deep jis ka mahallaat hi mein jale | दीप जिस का महल्लात ही में जले - Habib Jalib

deep jis ka mahallaat hi mein jale
chand logon ki khushiyon ko le kar chale
vo jo saaye mein har maslahat ke pale
aise dastoor ko subh-e-be-noor ko
main nahin maanta main nahin jaanta

main bhi khaif nahin takhta-e-daar se
main bhi mansoor hoon kah do aghyaar se
kyun daraate ho zindaan ki deewaar se
zulm ki baat ko jahal ki raat ko
main nahin maanta main nahin jaanta

phool shaakhon pe khilne lage tum kaho
jaam rindon ko milne lage tum kaho
chaak seenon ke silne lage tum kaho
is khule jhooth ko zehan ki loot ko
main nahin maanta main nahin jaanta

tum ne lootaa hai sadiyon hamaara sukoon
ab na hum par chalega tumhaara fusoon
chaaragar dardmandon ke bante ho kyun
tum nahin chaaragar koi maane magar
main nahin maanta main nahin jaanta

दीप जिस का महल्लात ही में जले
चंद लोगों की ख़ुशियों को ले कर चले
वो जो साए में हर मस्लहत के पले
ऐसे दस्तूर को सुब्ह-ए-बे-नूर को
मैं नहीं मानता मैं नहीं जानता

मैं भी ख़ाइफ़ नहीं तख़्ता-ए-दार से
मैं भी मंसूर हूँ कह दो अग़्यार से
क्यूँ डराते हो ज़िंदाँ की दीवार से
ज़ुल्म की बात को जहल की रात को
मैं नहीं मानता मैं नहीं जानता

फूल शाख़ों पे खिलने लगे तुम कहो
जाम रिंदों को मिलने लगे तुम कहो
चाक सीनों के सिलने लगे तुम कहो
इस खुले झूट को ज़ेहन की लूट को
मैं नहीं मानता मैं नहीं जानता

तुम ने लूटा है सदियों हमारा सुकूँ
अब न हम पर चलेगा तुम्हारा फ़ुसूँ
चारागर दर्दमंदों के बनते हो क्यूँ
तुम नहीं चारागर कोई माने मगर
मैं नहीं मानता मैं नहीं जानता

- Habib Jalib
0 Likes

Azal Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Habib Jalib

As you were reading Shayari by Habib Jalib

Similar Writers

our suggestion based on Habib Jalib

Similar Moods

As you were reading Azal Shayari Shayari