sada aa rahi hai mare dil se paiham
ki hoga har ik dushman-e-jaan ka sar kham
nahin hai nizaam-e-halaakat mein kuchh dam
zaroorat hai insaan ki amn-e-aalam
fazaaon mein lehraayega surkh parcham
sada aa rahi hai mere dil se paiham
na zillat ke saaye mein bacche palenge
na haath apne qismat ke haathon malenge
musawaat ke deep ghar ghar jalenge
sab ahl-e-watan sar utha ke chalenge
na hogi kabhi zindagi waqf-e-maatham
fazaaon mein lehraayega surkh parcham
सदा आ रही है मरे दिल से पैहम
कि होगा हर इक दुश्मन-ए-जाँ का सर ख़म
नहीं है निज़ाम-ए-हलाकत में कुछ दम
ज़रूरत है इंसान की अम्न-ए-आलम
फ़ज़ाओं में लहराएगा सुर्ख़ परचम
सदा आ रही है मिरे दिल से पैहम
न ज़िल्लत के साए में बच्चे पलेंगे
न हाथ अपने क़िस्मत के हाथों मलेंगे
मुसावात के दीप घर घर जलेंगे
सब अहल-ए-वतन सर उठा के चलेंगे
न होगी कभी ज़िंदगी वक़्फ़-ए-मातम
फ़ज़ाओं में लहराएगा सुर्ख़ परचम
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Habib Jalib
our suggestion based on Habib Jalib
As you were reading Zindagi Shayari Shayari