aakhir ek din shaad karoge
mera ghar aabaad karoge
pyaar ki baatein vasl ki raatein
yaad karoge yaad karoge
kis dil se aabaad kiya tha
kis dil se barbaad karoge
main ne apni qeemat kah di
tum bhi kuchh irshaad karoge
zar ke bando aql ke andho
tum kya mujh ko shaad karoge
jab mujh ko chup lag jaayegi
phir tum bhi fariyaad karoge
aur tumhein aata hi kya hai
koi sitam ijaad karoge
tang aa kar ai banda-parvar
bande ko azaad karoge
mere dil mein basne waalo
tum mujh ko barbaad karoge
husn ko rusva kar ke maroonga
aakhir tum kya yaad karoge
hashr ke din ummeed hai naaseh
tum meri imdaad karoge
आख़िर एक दिन शाद करोगे
मेरा घर आबाद करोगे
प्यार की बातें वस्ल की रातें
याद करोगे याद करोगे
किस दिल से आबाद किया था
किस दिल से बर्बाद करोगे
मैं ने अपनी क़ीमत कह दी
तुम भी कुछ इरशाद करोगे
ज़र के बंदो अक़्ल के अंधो
तुम क्या मुझ को शाद करोगे
जब मुझ को चुप लग जाएगी
फिर तुम भी फ़रियाद करोगे
और तुम्हें आता ही क्या है
कोई सितम ईजाद करोगे
तंग आ कर ऐ बंदा-परवर
बंदे को आज़ाद करोगे
मेरे दिल में बसने वालो
तुम मुझ को बर्बाद करोगे
हुस्न को रुस्वा कर के मरूँगा
आख़िर तुम क्या याद करोगे
हश्र के दिन उम्मीद है नासेह
तुम मेरी इमदाद करोगे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Hafeez Jalandhari
our suggestion based on Hafeez Jalandhari
As you were reading Taareef Shayari Shayari