be-taalluq zindagi achhi nahin
zindagi kya maut bhi achhi nahin
aaj bhi paaya hai un ko bad-mizaaj
soorat-e-haalat abhi achhi nahin
hasrat-e-dil dekh aankhon mein na baith
is qadar be-pardagi achhi nahin
main na kehta tha dil-e-khaana-kharaab
dilbaron se dil-lagi achhi nahin
sair kijeye husn ke bazaar ki
haan magar aawaargi achhi nahin
dil lagao to lagao dil se dil
dil-lagi hi dil-lagi achhi nahin
ye hawa ye abr ye sabza hafiz
aaj peene mein kami achhi nahin
बे-तअल्लुक़ ज़िंदगी अच्छी नहीं
ज़िंदगी क्या मौत भी अच्छी नहीं
आज भी पाया है उन को बद-मिज़ाज
सूरत-ए-हालात अभी अच्छी नहीं
हसरत-ए-दिल देख आँखों में न बैठ
इस क़दर बे-पर्दगी अच्छी नहीं
मैं न कहता था दिल-ए-ख़ाना-ख़राब
दिलबरों से दिल-लगी अच्छी नहीं
सैर कीजे हुस्न के बाज़ार की
हाँ मगर आवारगी अच्छी नहीं
दिल लगाओ तो लगाओ दिल से दिल
दिल-लगी ही दिल-लगी अच्छी नहीं
ये हवा ये अब्र ये सब्ज़ा 'हफ़ीज़'
आज पीने में कमी अच्छी नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Hafeez Jalandhari
our suggestion based on Hafeez Jalandhari
As you were reading Life Shayari Shayari