kyun hijr ke shikwe karta hai kyun dard ke rone rota hai | क्यूँ हिज्र के शिकवे करता है क्यूँ दर्द के रोने रोता है - Hafeez Jalandhari

kyun hijr ke shikwe karta hai kyun dard ke rone rota hai
ab ishq kiya to sabr bhi kar is mein to yahi kuch hota hai

aaghaaz-e-museebat hota hai apne hi dil ki shaamat se
aankhon mein phool khilaata hai talvon mein kaante bota hai

ahbaab ka shikwa kya kijie khud zaahir o baatin ek nahin
lab oopar oopar hanste hain dil andar andar rota hai

mallaahon ko ilzaam na do tum saahil waale kya jaano
ye toofaan kaun uthaata hai ye kashti kaun dubota hai

kya jaaniye ye kya khoyega kya jaaniye ye kya paayega
mandir ka pujaari jaagta hai masjid ka namaazi sota hai

khairaat ki jannat thukra de hai shaan yahi khuddaari ki
jannat se nikala tha jis ko tu us aadam ka pota hai

क्यूँ हिज्र के शिकवे करता है क्यूँ दर्द के रोने रोता है
अब इश्क़ किया तो सब्र भी कर इस में तो यही कुछ होता है

आग़ाज़-ए-मुसीबत होता है अपने ही दिल की शामत से
आँखों में फूल खिलाता है तलवों में काँटे बोता है

अहबाब का शिकवा क्या कीजिए ख़ुद ज़ाहिर ओ बातिन एक नहीं
लब ऊपर ऊपर हँसते हैं दिल अंदर अंदर रोता है

मल्लाहों को इल्ज़ाम न दो तुम साहिल वाले क्या जानो
ये तूफ़ाँ कौन उठाता है ये कश्ती कौन डुबोता है

क्या जानिए ये क्या खोएगा क्या जानिए ये क्या पाएगा
मंदिर का पुजारी जागता है मस्जिद का नमाज़ी सोता है

ख़ैरात की जन्नत ठुकरा दे है शान यही ख़ुद्दारी की
जन्नत से निकाला था जिस को तू उस आदम का पोता है

- Hafeez Jalandhari
1 Like

Aah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Hafeez Jalandhari

As you were reading Shayari by Hafeez Jalandhari

Similar Writers

our suggestion based on Hafeez Jalandhari

Similar Moods

As you were reading Aah Shayari Shayari