nigaah-e-aarzoo-aamoz ka charcha na ho jaaye | निगाह-ए-आरज़ू-आमोज़ का चर्चा न हो जाए - Hafeez Jalandhari

nigaah-e-aarzoo-aamoz ka charcha na ho jaaye
sharaarat saadgi hi mein kahi rusva na ho jaaye

unhen ehsaas-e-tamkeen ho kahi aisa na ho jaaye
jo hona ho abhi ai jur'at-e-rindaana ho jaaye

b-zaahir saadgi se muskuraa kar dekhne waalo
koi kam-bakht na-waaqif agar deewaana ho jaaye

bahut hi khoob shay hai ikhtiyaari shaan-e-khuddaari
agar maashooq bhi kuch aur be-parwa na ho jaaye

iraade baandhta hoon sochta hoon tod deta hoon
kahi aisa na ho jaaye kahi aisa na ho jaaye

ilaahi dil-nawaazi phir karein vo may-farosh aankhen
ilaahi ittihaad-e-sheesha-o-paimaana ho jaaye

meri ulfat ta'ajjub ho gai tauba maaz-allah
ki munh se bhi na nikle baat aur afsaana ho jaaye

ye tanhaai ka aalam chaand taaron ki ye khaamoshi
hafiz ab lutf hai ik naara-e-mastaana ho jaaye

निगाह-ए-आरज़ू-आमोज़ का चर्चा न हो जाए
शरारत सादगी ही में कहीं रुस्वा न हो जाए

उन्हें एहसास-ए-तमकीं हो कहीं ऐसा न हो जाए
जो होना हो अभी ऐ जुरअत-ए-रिंदाना हो जाए

ब-ज़ाहिर सादगी से मुस्कुरा कर देखने वालो
कोई कम-बख़्त ना-वाक़िफ़ अगर दीवाना हो जाए

बहुत ही ख़ूब शय है इख़्तियारी शान-ए-ख़ुद्दारी
अगर माशूक़ भी कुछ और बे-परवा न हो जाए

इरादे बाँधता हूँ सोचता हूँ तोड़ देता हूँ
कहीं ऐसा न हो जाए कहीं ऐसा न हो जाए

इलाही दिल-नवाज़ी फिर करें वो मय-फ़रोश आँखें
इलाही इत्तिहाद-ए-शीशा-ओ-पैमाना हो जाए

मिरी उल्फ़त तअज्जुब हो गई तौबा मआज़-अल्लाह
कि मुँह से भी न निकले बात और अफ़्साना हो जाए

ये तन्हाई का आलम चाँद तारों की ये ख़ामोशी
'हफ़ीज़' अब लुत्फ़ है इक नारा-ए-मस्ताना हो जाए

- Hafeez Jalandhari
0 Likes

Valentine Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Hafeez Jalandhari

As you were reading Shayari by Hafeez Jalandhari

Similar Writers

our suggestion based on Hafeez Jalandhari

Similar Moods

As you were reading Valentine Shayari Shayari