aaghaaz-e-mohabbat mein barson yun zabt se ham ne kaam liya | आग़ाज़-ए-मोहब्बत में बरसों यूँ ज़ब्त से हम ने काम लिया - Hafeez Jaunpuri

aaghaaz-e-mohabbat mein barson yun zabt se ham ne kaam liya
jab hook kaleje mein utthi to haathon se dil thaam liya

us rashk ke haathon ek na ik har roz hi daagh uthaate rahe
ham chot jigar par kha baithe jab gair ne tera naam liya

aankhen vo jhukein milte milte rahe hosh-o-khird jaate jaate
kuch sharm ne un ko rok liya kuch zabt ne ham ko thaam liya

insaan ki thi ye taab-o-tawaan jo baar-e-mohabbat utha saka
ek ye bhi hai ehsaan tira kya us se tu ne kaam liya

sehra mein thande waqt hamein yaad aayi jo us ki jalwagari
kuch aisi hui vehshat dil ko dam ja ke zer-e-baam liya

aur us ke siva kuch kah na sake poocha jo kisi ne haal hai kya
aankhon se aansu bahne lage haathon se kaleja thaam liya

lootaa teri dono aankhon ne paaya jo mere dil ko tanhaa
jo ek ne sabr shakeb liya to ek ne chain aaraam liya

ab tak to khabar li us ne meri jis waqt koi uftaad padi
jab thokren kha kar girne laga haath us ne lapak kar thaam liya

ham laayein kahaan se vo aankhen jo tum ko pashemaan dekh saken
ab kaisi nadaamat jab ham ne sab apne sar ilzaam liya

mehroomi-e-qismat kya kahiye ehsaan kiya kab saaqi ne
paimaana-e-umr chhalk hi gaya jab haath mein apne jaam liya

mauzoon jo hue jazbaat-e-dil jab she'r-e-'hafiz padha ham ne
sunte hi dono haathon se saamei ne kaleja thaam liya

आग़ाज़-ए-मोहब्बत में बरसों यूँ ज़ब्त से हम ने काम लिया
जब हूक कलेजे में उट्ठी तो हाथों से दिल थाम लिया

उस रश्क के हाथों एक न इक हर रोज़ ही दाग़ उठाते रहे
हम चोट जिगर पर खा बैठे जब ग़ैर ने तेरा नाम लिया

आँखें वो झुकें मिलते मिलते रहे होश-ओ-ख़िरद जाते जाते
कुछ शर्म ने उन को रोक लिया कुछ ज़ब्त ने हम को थाम लिया

इंसान की थी ये ताब-ओ-तवाँ जो बार-ए-मोहब्बत उठा सकता
एक ये भी है एहसान तिरा क्या उस से तू ने काम लिया

सहरा में ठंडे वक़्त हमें याद आई जो उस की जल्वागरी
कुछ ऐसी हुई वहशत दिल को दम जा के ज़ेर-ए-बाम लिया

और उस के सिवा कुछ कह न सके पूछा जो किसी ने हाल है क्या
आँखों से आँसू बहने लगे हाथों से कलेजा थाम लिया

लूटा तेरी दोनों आँखों ने पाया जो मिरे दिल को तन्हा
जो एक ने सब्र शकेब लिया तो एक ने चैन आराम लिया

अब तक तो ख़बर ली उस ने मिरी जिस वक़्त कोई उफ़्ताद पड़ी
जब ठोकरें खा कर गिरने लगा हाथ उस ने लपक कर थाम लिया

हम लाएँ कहाँ से वो आँखें जो तुम को पशेमाँ देख सकें
अब कैसी नदामत जब हम ने सब अपने सर इल्ज़ाम लिया

महरूमी-ए-क़िस्मत क्या कहिए एहसान किया कब साक़ी ने
पैमाना-ए-उम्र छलक ही गया जब हाथ में अपने जाम लिया

मौज़ूँ जो हुए जज़्बात-ए-दिल जब शे'र-ए-'हफ़ीज़' पढ़ा हम ने
सुनते ही दोनों हाथों से सामेअ' ने कलेजा थाम लिया

- Hafeez Jaunpuri
0 Likes

Peace Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Hafeez Jaunpuri

As you were reading Shayari by Hafeez Jaunpuri

Similar Writers

our suggestion based on Hafeez Jaunpuri

Similar Moods

As you were reading Peace Shayari Shayari