khud-b-khud aankh badal kar ye sawaal achha hai | ख़ुद-ब-ख़ुद आँख बदल कर ये सवाल अच्छा है

  - Hafeez Jaunpuri

khud-b-khud aankh badal kar ye sawaal achha hai
roz kab tak koi poocha kare haal achha hai

hijr mein aish-e-guzishta ka khayal achha hai
ho jhalak jis mein khushi ki vo maal achha hai

daagh behtar hai wahi ho jo dil-e-aashiq mein
jor hai aariz-e-khooban pe vo khaal achha hai

dekh un khaak ke putlon ki adaayein zaahid
un se kis baat mein huroon ka jamaal achha hai

kijie aur bhi shikwe ki mite dil ka ghubaar
baaton baaton mein nikal jaaye malaal achha hai

tandurusti se to behtar thi meri beemaari
vo kabhi pooch to lete the ki haal achha hai

jo nigaahon mein samaa jaaye vo soorat achhi
jo khareedaar ko jach jaaye vo maal achha hai

chaaragar ko mere ye bhi nahin tamaiz abhi
kaun sa haal bura kaun sa haal achha hai

de khuda zar to koi may-kada aabaad karein
achhe kaamon mein jo ho sarf vo maal achha hai

hans ke kahte hain kabhi haath se udne ka nahin
tair-e-rang-e-hina be-par-o-baal achha hai

jo na nikle kabhi dil se vo tamannaa achhi
jo na aaye kabhi lab tak vo sawaal achha hai

hasrat aati hai hamein haal par apne kya kya
sunte hain jab kisi beemaar ka haal achha hai

hoor ke zikr par aaina utha kar dekha
us se eemaan hai ki mera hi jamaal achha hai

aarzoo meri na poori ho koi baat hai ye
kaash itna vo samajh len ki sawaal achha hai

muft milta hai kharaabaat mein har may-kash ko
tharra peene ke liye jaam-e-sifaal achha hai

saikdon barq-jamaalon ka guzar hota hai
toor-e-seena se mera baam-e-khayaal achha hai

hoon gada-e-dar-e-may-khaana takalluf se bari
toota-foota ye mera jaam-e-sifaal achha hai

haal sunte nahin be-khud hain ye masjid waale
un se kuchh may-kade waalon hi ka haal achha hai

dafa'atan tark-e-mohabbat mein zarar hai jee ka
rafta rafta jo mite dil se khayal achha hai

ab ke har shehar mein faila hai jo taoun hafiz
marne waalon ko khushi hai ki ye saal achha hai

ख़ुद-ब-ख़ुद आँख बदल कर ये सवाल अच्छा है
रोज़ कब तक कोई पूछा करे हाल अच्छा है

हिज्र में ऐश-ए-गुज़िश्ता का ख़याल अच्छा है
हो झलक जिस में ख़ुशी की वो मआल अच्छा है

दाग़ बेहतर है वही हो जो दिल-ए-आशिक़ में
जौर है आरिज़-ए-ख़ूबाँ पे वो ख़ाल अच्छा है

देख उन ख़ाक के पुतलों की अदाएँ ज़ाहिद
उन से किस बात में हूरों का जमाल अच्छा है

कीजिए और भी शिकवे कि मिटे दिल का ग़ुबार
बातों बातों में निकल जाए मलाल अच्छा है

तंदुरुस्ती से तो बेहतर थी मिरी बीमारी
वो कभी पूछ तो लेते थे कि हाल अच्छा है

जो निगाहों में समा जाए वो सूरत अच्छी
जो ख़रीदार को जच जाए वो माल अच्छा है

चारागर को मिरे ये भी नहीं तमईज़ अभी
कौन सा हाल बुरा कौन सा हाल अच्छा है

दे ख़ुदा ज़र तो कोई मय-कदा आबाद करें
अच्छे कामों में जो हो सर्फ़ वो माल अच्छा है

हँस के कहते हैं कभी हाथ से उड़ने का नहीं
ताइर-ए-रंग-ए-हिना बे-पर-ओ-बाल अच्छा है

जो न निकले कभी दिल से वो तमन्ना अच्छी
जो न आए कभी लब तक वो सवाल अच्छा है

हसरत आती है हमें हाल पर अपने क्या क्या
सुनते हैं जब किसी बीमार का हाल अच्छा है

हूर के ज़िक्र पर आईना उठा कर देखा
उस से ईमाँ है कि मेरा ही जमाल अच्छा है

आरज़ू मेरी न पूरी हो कोई बात है ये
काश इतना वो समझ लें कि सवाल अच्छा है

मुफ़्त मिलता है ख़राबात में हर मय-कश को
ठर्रा पीने के लिए जाम-ए-सिफ़ाल अच्छा है

सैंकड़ों बर्क़-जमालों का गुज़र होता है
तूर-ए-सीना से मिरा बाम-ए-ख़याल अच्छा है

हूँ गदा-ए-दर-ए-मय-ख़ाना तकल्लुफ़ से बरी
टूटा-फूटा ये मेरा जाम-ए-सिफ़ाल अच्छा है

हाल सुनते नहीं बे-ख़ुद हैं ये मस्जिद वाले
उन से कुछ मय-कदे वालों ही का हाल अच्छा है

दफ़अ'तन तर्क-ए-मोहब्बत में ज़रर है जी का
रफ़्ता रफ़्ता जो मिटे दिल से ख़याल अच्छा है

अब के हर शहर में फैला है जो ताऊन 'हफ़ीज़'
मरने वालों को ख़ुशी है कि ये साल अच्छा है

  - Hafeez Jaunpuri

Gham Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Hafeez Jaunpuri

As you were reading Shayari by Hafeez Jaunpuri

Similar Writers

our suggestion based on Hafeez Jaunpuri

Similar Moods

As you were reading Gham Shayari Shayari