karna jo mohabbat ka iqaar samajh lena
ik baar nahin us ko sau baar samajh lena
ham hon ki adoo us mein jo zulm ka shaaki ho
karta hi nahin tum ko vo pyaar samajh lena
mar jaaye magar jaana us ki na ayaadat ko
tum jis ko mohabbat ka beemaar samajh lena
ban ban ke bigadta hai vo kaam mohabbat mein
aasaan nahin jis ko dushwaar samajh lena
ghafalat-kada-e-hasti jab kahte hain aalam ko
sauda hai phir apne ko hushiyaar samajh lena
mehfil mein raqeebon ki jaana hai agar tum ko
soorat se mujhe apni bezaar samajh lena
dil par to lagaate ho tum teer-e-nazar lekin
aahon ko hamaari bhi talwaar samajh lena
chheda jo mere aage phir tazkira-e-dushman
rakhi hui hai mujh se takraar samajh lena
poshida hafiz is mein asraar-e-mohabbat hain
aasaan nahin mere ashaar samajh lena
करना जो मोहब्बत का इक़रार समझ लेना
इक बार नहीं उस को सौ बार समझ लेना
हम हों कि अदू उस में जो ज़ुल्म का शाकी हो
करता ही नहीं तुम को वो प्यार समझ लेना
मर जाए मगर जाना उस की न अयादत को
तुम जिस को मोहब्बत का बीमार समझ लेना
बन बन के बिगड़ता है वो काम मोहब्बत में
आसान नहीं जिस को दुश्वार समझ लेना
ग़फ़लत-कदा-ए-हस्ती जब कहते हैं आलम को
सौदा है फिर अपने को हुशियार समझ लेना
महफ़िल में रक़ीबों की जाना है अगर तुम को
सूरत से मुझे अपनी बेज़ार समझ लेना
दिल पर तो लगाते हो तुम तीर-ए-नज़र लेकिन
आहों को हमारी भी तलवार समझ लेना
छेड़ा जो मिरे आगे फिर तज़किरा-ए-दुश्मन
रक्खी हुई है मुझ से तकरार समझ लेना
पोशीदा 'हफ़ीज़' इस में असरार-ए-मोहब्बत हैं
आसान नहीं मेरे अशआ'र समझ लेना
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Hafeez Jaunpuri
our suggestion based on Hafeez Jaunpuri
As you were reading Jashn Shayari Shayari