us ko aazaadi na milne ka hamein maqdoor hai | उस को आज़ादी न मिलने का हमें मक़्दूर है

  - Hafeez Jaunpuri

us ko aazaadi na milne ka hamein maqdoor hai
ham idhar majboor hain aur vo idhar majboor hai

shab ko chhup kar aaiye aana agar manzoor hai
aap ke ghar se hamaara ghar hi kitni door hai

laakh minnat ki magar ik baat bhi munh se na ki
aap ki tasveer bhi kitni badi maghroor hai

is andheri raat mein ai shaikh pahchaanega kaun
band hai masjid ka dar to may-kada kya door hai

ek raskh-e-ghair ka sadma to uth saka nahin
aur jo farmaiye sab kuchh hamein manzoor hai

mar gaya dushman to us ka sog tum ko kya zaroor
kaun si ye rasm hai ye kaun sa dastoor hai

zaahid is ummeed par milna haseenon se na chhod
khuld mein naadaan tere hi liye kya hoor hai

hashr ke din kya kaheinge ye agar aaya khayal
shikwa karna yaar ka paas-e-wafa se door hai

kuchh hafiz aisa nahin jis se ki tum waqif na ho
aadmi vo to bahut maaroof hai mashhoor hai

उस को आज़ादी न मिलने का हमें मक़्दूर है
हम इधर मजबूर हैं और वो इधर मजबूर है

शब को छुप कर आइए आना अगर मंज़ूर है
आप के घर से हमारा घर ही कितनी दूर है

लाख मिन्नत की मगर इक बात भी मुँह से न की
आप की तस्वीर भी कितनी बड़ी मग़रूर है

इस अँधेरी रात में ऐ शैख़ पहचानेगा कौन
बंद है मस्जिद का दर तो मय-कदा क्या दूर है

एक रश्क-ए-ग़ैर का सदमा तो उठ सकता नहीं
और जो फ़रमाइए सब कुछ हमें मंज़ूर है

मर गया दुश्मन तो उस का सोग तुम को क्या ज़रूर
कौन सी ये रस्म है ये कौन सा दस्तूर है

ज़ाहिद इस उम्मीद पर मिलना हसीनों से न छोड़
ख़ुल्द में नादान तेरे ही लिए क्या हूर है

हश्र के दिन क्या कहेंगे ये अगर आया ख़याल
शिकवा करना यार का पास-ए-वफ़ा से दूर है

कुछ 'हफ़ीज़' ऐसा नहीं जिस से कि तुम वाक़िफ़ न हो
आदमी वो तो बहुत मारूफ़ है मशहूर है

  - Hafeez Jaunpuri

Baaten Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Hafeez Jaunpuri

As you were reading Shayari by Hafeez Jaunpuri

Similar Writers

our suggestion based on Hafeez Jaunpuri

Similar Moods

As you were reading Baaten Shayari Shayari