diya jab jaam-e-may saaqi ne bhar ke
to pachhtaaye bahut ham tauba kar ke
lipt jaao gale se waqt-e-aakhir
ki phir jeeta nahin hai koi mar ke
wahan se aa ke us ki bhi firee aankh
vo tevar hi nahin ab nama-bar ke
koi jab poochta hai haal dil ka
to ro dete hain ham ik aah bhar ke
gulon ke ishq mein de jaan bulbul
are ye hausale ek musht par ke
khuda mahfooz rakhe un ki zid se
jo kahte hain dikha dete hain kar ke
rahenge khaak mein ham ko mila kar
tire andaaz is neechi nazar ke
dimaagh apna na kyun kar arsh par ho
ye samjho to gada hain kis ke dar ke
hui hai qaid se bad-tar rihaai
kiya azaad us ne par katar ke
uthe jaate hain lo duniya se ham aaj
mite jaate hain jhagde umr bhar ke
hafiz ab naala o fariyaad chhodo
koi din yun bhi dekho sabr kar ke
दिया जब जाम-ए-मय साक़ी ने भर के
तो पछताए बहुत हम तौबा कर के
लिपट जाओ गले से वक़्त-ए-आख़िर
कि फिर जीता नहीं है कोई मर के
वहाँ से आ के उस की भी फिरी आँख
वो तेवर ही नहीं अब नामा-बर के
कोई जब पूछता है हाल दिल का
तो रो देते हैं हम इक आह भर के
गुलों के इश्क़ में दे जान बुलबुल
अरे ये हौसले एक मुश्त पर के
ख़ुदा महफ़ूज़ रक्खे उन की ज़िद से
जो कहते हैं दिखा देते हैं कर के
रहेंगे ख़ाक में हम को मिला कर
तिरे अंदाज़ इस नीची नज़र के
दिमाग़ अपना न क्यूँ कर अर्श पर हो
ये समझो तो गदा हैं किस के दर के
हुई है क़ैद से बद-तर रिहाई
किया आज़ाद उस ने पर कतर के
उठे जाते हैं लो दुनिया से हम आज
मिटे जाते हैं झगड़े उम्र भर के
'हफ़ीज़' अब नाला ओ फ़रियाद छोड़ो
कोई दिन यूँ भी देखो सब्र कर के
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Hafeez Jaunpuri
our suggestion based on Hafeez Jaunpuri
As you were reading Crime Shayari Shayari