ham ko dikha dikha ke ghairoon ke itr malna | हम को दिखा दिखा के ग़ैरों के इत्र मलना

  - Hafeez Jaunpuri

ham ko dikha dikha ke ghairoon ke itr malna
aata hai khoob tum ko chaati pe moong dalna

mahshar bapaa kiya hai raftaar ne tumhaari
is chaal ke tasadduq ye bhi hai koi chalna

ghairoon ke ghar to shab ko jaate ho baarha tum
bhule se mere ghar bhi ik roz aa nikalna

hat ki kuchh intiha hai zid ki bhi koi had hai
ye baat baat par to achha nahin machalna

jalta hai gair ham se to kya khata hamaari
tum ye samajh lo us ki taqdeer mein hai jalna

jab tak hain tere dar par dil-bastagi si hai kuchh
ye aastaan jo chhoota mushkil hai jee bahlna

dekho hafiz apne jee ki jo khair chaaho
baste jidhar haseen hon vo raasta na chalna

हम को दिखा दिखा के ग़ैरों के इत्र मलना
आता है ख़ूब तुम को छाती पे मूँग दलना

महशर बपा किया है रफ़्तार ने तुम्हारी
इस चाल के तसद्दुक़ ये भी है कोई चलना

ग़ैरों के घर तो शब को जाते हो बारहा तुम
भूले से मेरे घर भी इक रोज़ आ निकलना

हट की कुछ इंतिहा है ज़िद की भी कोई हद है
ये बात बात पर तो अच्छा नहीं मचलना

जलता है ग़ैर हम से तो क्या ख़ता हमारी
तुम ये समझ लो उस की तक़दीर में है जलना

जब तक हैं तेरे दर पर दिल-बस्तगी सी है कुछ
ये आस्ताँ जो छूटा मुश्किल है जी बहलना

देखो 'हफ़ीज़' अपने जी की जो ख़ैर चाहो
बस्ते जिधर हसीं हों वो रास्ता न चलना

  - Hafeez Jaunpuri

Tevar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Hafeez Jaunpuri

As you were reading Shayari by Hafeez Jaunpuri

Similar Writers

our suggestion based on Hafeez Jaunpuri

Similar Moods

As you were reading Tevar Shayari Shayari