un ko dil de ke pashemaani hai | उन को दिल दे के पशेमानी है

  - Hafeez Jaunpuri

un ko dil de ke pashemaani hai
ye bhi ik tarah ki nadaani hai

vasl se aaj naya hai inkaar
tum ne kab baat meri maani hai

aap dete hain tasalli kis ko
ham ne ab aur hi kuchh thaani hai

haal bin pooche kahe jaata hoon
apne matlab ki ye nadaani hai

kis qadar baar hoon gham-khwaron par
kya subuk meri giraa-jaani hai

ghar bula kar vo mujhe lautte hain
ye nayi tarah ki mehmaani hai

ham se vehshat ki na le o majnoon
ham ne bhi khaak bahut chaani hai

khaak udti hai jidhar jaata hoon
kya muqaddar ki pareshaani hai

ghar bhi veeraana nazar aata hai
haaye kya be-sar-o-saamaani hai

aayi kyun un ki shikaayat lab tak
ham ko khud us ki pashemaani hai

kahi do din na raha jam ke hafiz
ek aawaara hai sailaani hai

उन को दिल दे के पशेमानी है
ये भी इक तरह की नादानी है

वस्ल से आज नया है इंकार
तुम ने कब बात मिरी मानी है

आप देते हैं तसल्ली किस को
हम ने अब और ही कुछ ठानी है

हाल बिन पूछे कहे जाता हूँ
अपने मतलब की ये नादानी है

किस क़दर बार हूँ ग़म-ख़्वारों पर
क्या सुबुक मेरी गिराँ-जानी है

घर बुला कर वो मुझे लौटते हैं
ये नई तरह की मेहमानी है

हम से वहशत की न ले ओ मजनूँ
हम ने भी ख़ाक बहुत छानी है

ख़ाक उड़ती है जिधर जाता हूँ
क्या मुक़द्दर की परेशानी है

घर भी वीराना नज़र आता है
हाए क्या बे-सर-ओ-सामानी है

आई क्यूँ उन की शिकायत लब तक
हम को ख़ुद उस की पशेमानी है

कहीं दो दिन न रहा जम के 'हफ़ीज़'
एक आवारा है सैलानी है

  - Hafeez Jaunpuri

Mulaqat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Hafeez Jaunpuri

As you were reading Shayari by Hafeez Jaunpuri

Similar Writers

our suggestion based on Hafeez Jaunpuri

Similar Moods

As you were reading Mulaqat Shayari Shayari