sun ke mere ishq ki roodaad ko
log bhule qais ko farhaad ko
ai nigaah-e-yaas ho tera bura
tu ne tadpa hi diya jallaad ko
baad mere uth gai qadr-e-sitam
ab tarsate hain haseen bedaad ko
ik zara jhooti tasalli hi sahi
kuchh to samjha do dil-e-naashaad ko
haaye ye dard-e-jigar kis se kahoon
kaun sunta hai meri fariyaad ko
jaayenge duniya se sab kuchh chhod kar
haan magar le kar kisi ki yaad ko
ab mujhe maane na maane ai hafiz
maante hain sab mere ustaad ko
सुन के मेरे इश्क़ की रूदाद को
लोग भूले क़ैस को फ़रहाद को
ऐ निगाह-ए-यास हो तेरा बुरा
तू ने तड़पा ही दिया जल्लाद को
बाद मेरे उठ गई क़द्र-ए-सितम
अब तरसते हैं हसीं बेदाद को
इक ज़रा झूटी तसल्ली ही सही
कुछ तो समझा दो दिल-ए-नाशाद को
हाए ये दर्द-ए-जिगर किस से कहूँ
कौन सुनता है मिरी फ़रियाद को
जाएँगे दुनिया से सब कुछ छोड़ कर
हाँ मगर ले कर किसी की याद को
अब मुझे मानें न मानें ऐ 'हफ़ीज़'
मानते हैं सब मिरे उस्ताद को
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Hafeez Jaunpuri
our suggestion based on Hafeez Jaunpuri
As you were reading Sach Shayari Shayari