ho tark kisi se na mulaqaat kisi ki | हो तर्क किसी से न मुलाक़ात किसी की

  - Hafeez Jaunpuri

ho tark kisi se na mulaqaat kisi ki
yaarab na bigad jaaye bani baat kisi ki

paanv ko jo faila ke sar-e-shaam se soye
kya jaane vo kis tarah kai raat kisi ki

farmaiye kyun kar vo sahe aap ki gaali
uth sakti na ho jis se kaddi baat kisi ki

farmaishein tum roz karo shauq se lekin
ye jaan lo thodi si hai auqaat kisi ki

mumkin hai ki samjhe na hafiz aap ki chaalein
shayar se bhi chalti hai kahi ghaat kisi ki

हो तर्क किसी से न मुलाक़ात किसी की
यारब न बिगड़ जाए बनी बात किसी की

पाँव को जो फैला के सर-ए-शाम से सोए
क्या जाने वो किस तरह कई रात किसी की

फ़रमाइए क्यूँ कर वो सहे आप की गाली
उठ सकती न हो जिस से कड़ी बात किसी की

फ़रमाइशें तुम रोज़ करो शौक़ से लेकिन
ये जान लो थोड़ी सी है औक़ात किसी की

मुमकिन है कि समझे न 'हफ़ीज़' आप की चालें
शायर से भी चलती है कहीं घात किसी की

  - Hafeez Jaunpuri

Good night Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Hafeez Jaunpuri

As you were reading Shayari by Hafeez Jaunpuri

Similar Writers

our suggestion based on Hafeez Jaunpuri

Similar Moods

As you were reading Good night Shayari Shayari