dil is liye hai dost ki dil mein hai jaa-e-dost
jab ye na ho baghal mein hai dushman bajaae dost
mitne ki aarzoo hai isee rahguzar mein
itne mite ki log kahein khaak-e-pa-e-dost
taqreer ka hai khaas ada-e-bayaan mein lutf
suniye meri zabaan se kuchh maajra-e-dost
sab kuchh hai aur kuchh nahin aalam ki kaayenaat
duniya baraae dost hai uqba baraae dost
दिल इस लिए है दोस्त कि दिल में है जा-ए-दोस्त
जब ये न हो बग़ल में है दुश्मन बजाए दोस्त
मिटने की आरज़ू है इसी रहगुज़ार में
इतने मिटे कि लोग कहें ख़ाक-ए-पा-ए-दोस्त
तक़रीर का है ख़ास अदा-ए-बयाँ में लुत्फ़
सुनिए मिरी ज़बान से कुछ माजरा-ए-दोस्त
सब कुछ है और कुछ नहीं आलम की काएनात
दुनिया बराए दोस्त है उक़्बा बराए दोस्त
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Hafeez Jaunpuri
our suggestion based on Hafeez Jaunpuri
As you were reading Masti Shayari Shayari