baith jaata hoon jahaan chaanv ghani hoti hai | बैठ जाता हूँ जहाँ छाँव घनी होती है

  - Hafeez Jaunpuri

baith jaata hoon jahaan chaanv ghani hoti hai
haaye kya cheez ghareeb-ul-watani hoti hai

nahin marte hain to eeza nahin jheli jaati
aur marte hain to paimaan-shikni hoti hai

din ko ik noor barsta hai meri turbat par
raat ko chaadar-e-mehtaab tanee hoti hai

tum bichhadte ho jo ab karb na ho vo kam hai
dam nikalta hai to azaa-shikani hoti hai

zinda dar-gor ham aise jo hain marne waale
jeete-ji un ke gale mein kafni hoti hai

rut badalte hi badal jaati hai niyyat meri
jab bahaar aati hai tauba-shikni hoti hai

gair ke bas mein tumhein sun ke ye kah uthata hoon
aisi taqdeer bhi allah ghani hoti hai

na badhe baat agar khul ke karein vo baatein
bais-e-tool-e-sukhan kam-sukhani hoti hai

loot gaya vo tire kooche mein dhara jis ne qadam
is tarah ki bhi kahi raahzani hoti hai

husn waalon ko zid aa jaaye khuda ye na kare
kar guzarte hain jo kuchh jee mein thani hoti hai

hijr mein zahar hai saaghar ka lagana munh se
may ki jo boond hai heere ki kani hoti hai

may-kashon ko na kabhi fikr-e-kam-o-besh rahi
aise logon ki tabi'at bhi ghani hoti hai

hook uthati hai agar zabt-e-fughaan karta hoon
saans rukti hai to barchi ki anee hoti hai

aks ki un par nazar aaine pe un ki nigaah
do kamaan-daaron mein naavak-fagani hoti hai

pee lo do ghoont ki saaqi ki rahe baat hafiz
saaf inkaar se khateer-shikni hoti hai

बैठ जाता हूँ जहाँ छाँव घनी होती है
हाए क्या चीज़ ग़रीब-उल-वतनी होती है

नहीं मरते हैं तो ईज़ा नहीं झेली जाती
और मरते हैं तो पैमाँ-शिकनी होती है

दिन को इक नूर बरसता है मिरी तुर्बत पर
रात को चादर-ए-महताब तनी होती है

तुम बिछड़ते हो जो अब कर्ब न हो वो कम है
दम निकलता है तो आज़ा-शिकनी होती है

ज़िंदा दर-गोर हम ऐसे जो हैं मरने वाले
जीते-जी उन के गले में कफ़नी होती है

रुत बदलते ही बदल जाती है निय्यत मेरी
जब बहार आती है तौबा-शिकनी होती है

ग़ैर के बस में तुम्हें सुन के ये कह उठता हूँ
ऐसी तक़दीर भी अल्लाह ग़नी होती है

न बढ़े बात अगर खुल के करें वो बातें
बाइस-ए-तूल-ए-सुख़न कम-सुख़नी होती है

लुट गया वो तिरे कूचे में धरा जिस ने क़दम
इस तरह की भी कहीं राहज़नी होती है

हुस्न वालों को ज़िद आ जाए ख़ुदा ये न करे
कर गुज़रते हैं जो कुछ जी में ठनी होती है

हिज्र में ज़हर है साग़र का लगाना मुँह से
मय की जो बूँद है हीरे की कनी होती है

मय-कशों को न कभी फ़िक्र-ए-कम-ओ-बेश रही
ऐसे लोगों की तबीअ'त भी ग़नी होती है

हूक उठती है अगर ज़ब्त-ए-फ़ुग़ाँ करता हूँ
साँस रुकती है तो बर्छी की अनी होती है

अक्स की उन पर नज़र आईने पे उन की निगाह
दो कमाँ-दारों में नावक-फ़गनी होती है

पी लो दो घूँट कि साक़ी की रहे बात 'हफ़ीज़'
साफ़ इंकार से ख़ातिर-शिकनी होती है

  - Hafeez Jaunpuri

Taareef Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Hafeez Jaunpuri

As you were reading Shayari by Hafeez Jaunpuri

Similar Writers

our suggestion based on Hafeez Jaunpuri

Similar Moods

As you were reading Taareef Shayari Shayari