munh mera ek ek takta tha
us ki mehfil mein main tamasha tha
ham jo tujh se phiren khuda se phiren
yaad hai kuchh ye qaul kis ka tha
vasl mein bhi raha firaq ka gham
shaam hi se sehar ka khatka tha
apni aankhon ka kuchh qusoor nahin
husn hi dil-fareb is ka tha
faatiha padh rahe the vo jab tak
meri turbat par ek mela tha
nama-bar naama jab diya tu ne
kuchh zabaani bhi us ne poocha tha
ab kuchh is ka bhi e'tibaar nahin
pehle dil par bada bharosa tha
vo jo ruk ruk ke poochte the haal
dil mein rah rah ke dard uthata tha
jootha wa'da bhi ai hafiz un ka
zindagi ka meri sahaara tha
मुँह मिरा एक एक तकता था
उस की महफ़िल में मैं तमाशा था
हम जो तुझ से फिरें ख़ुदा से फिरें
याद है कुछ ये क़ौल किस का था
वस्ल में भी रहा फ़िराक़ का ग़म
शाम ही से सहर का खटका था
अपनी आँखों का कुछ क़ुसूर नहीं
हुस्न ही दिल-फ़रेब इस का था
फ़ातिहा पढ़ रहे थे वो जब तक
मेरी तुर्बत पर एक मेला था
नामा-बर नामा जब दिया तू ने
कुछ ज़बानी भी उस ने पूछा था
अब कुछ इस का भी ए'तिबार नहीं
पहले दिल पर बड़ा भरोसा था
वो जो रुक रुक के पूछते थे हाल
दिल में रह रह के दर्द उठता था
जूठा वा'दा भी ऐ 'हफ़ीज़' उन का
ज़िंदगी का मिरी सहारा था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Hafeez Jaunpuri
our suggestion based on Hafeez Jaunpuri
As you were reading Mulaqat Shayari Shayari