but-kada nazdeek kaaba door tha | बुत-कदा नज़दीक काबा दूर था - Hafeez Jaunpuri

but-kada nazdeek kaaba door tha
main idhar hi rah gaya majboor tha

shaam hi se ham kahi jaate the roz
muddaton apna yahi dastoor tha

vo kiya jis mein khushi thi aap ki
vo hua jo aap ko manzoor tha

kuch adab se rah gaye naale idhar
kya bataayein arsh kitni door tha

jis ghadi tha us ke jalwe ka zuhoor
arsh ka ham-sang koh-e-toor tha

ik haseen ka aa gaya jo tazkira
der tak mehfil mein zikr-e-hoor tha

vasl ki shab thi shab-e-meraaj kya
door tak faila hua ik noor tha

har kas-o-na-kas se kya milti nigaah
apni aankhon mein but-e-maghrur tha

umr bhar fikr-e-sukhan mein tha hafiz
shaayeri ka dil mein ik naasoor tha

बुत-कदा नज़दीक काबा दूर था
मैं इधर ही रह गया मजबूर था

शाम ही से हम कहीं जाते थे रोज़
मुद्दतों अपना यही दस्तूर था

वो किया जिस में ख़ुशी थी आप की
वो हुआ जो आप को मंज़ूर था

कुछ अदब से रह गए नाले इधर
क्या बताएँ अर्श कितनी दूर था

जिस घड़ी था उस के जल्वे का ज़ुहूर
अर्श का हम-संग कोह-ए-तूर था

इक हसीं का आ गया जो तज़्किरा
देर तक महफ़िल में ज़िक्र-ए-हूर था

वस्ल की शब थी शब-ए-मेराज क्या
दूर तक फैला हुआ इक नूर था

हर कस-ओ-ना-कस से क्या मिलती निगाह
अपनी आँखों में बुत-ए-मग़रूर था

उम्र भर फ़िक्र-ए-सुख़न में था 'हफ़ीज़'
शाएरी का दिल में इक नासूर था

- Hafeez Jaunpuri
0 Likes

Majboori Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Hafeez Jaunpuri

As you were reading Shayari by Hafeez Jaunpuri

Similar Writers

our suggestion based on Hafeez Jaunpuri

Similar Moods

As you were reading Majboori Shayari Shayari