bigad jaate the sun kar yaad hai kuchh vo zamaana bhi | बिगड़ जाते थे सुन कर याद है कुछ वो ज़माना भी

  - Hafeez Jaunpuri

bigad jaate the sun kar yaad hai kuchh vo zamaana bhi
koi karta tha jab meri shikaayat ghaaibaana bhi

vo jis par meherbaan hote hain duniya us ki hoti hai
nazar un ki palatte hi palatta hai zamaana bhi

suna karta hoon taane hijr mein kya kya raqeebon ke
bana hoon is mohabbat mein malaamat ka nishaana bhi

yahan bhi farz hai zaahid adab se sar jhuka lena
mere nazdeek ka'ba hai kisi ka aastaana bhi

fareb-e-daam mein laai hai kuchh sayyaad ki khaatir
qafas mein kheench kar laaya hamein kuchh aab-o-daana bhi

jala kar dil mera sayyaad ka thanda kaleja kar
kahi ai barq jaldi phoonk mera aashiyana bhi

bigadte der hoti hai na bante der hoti hai
mizaaj-e-yaar se kuchh milta-julta hai zamaana bhi

haseen padh kar ghazal meri mere mushtaaq hote hain
muskhkhar dil ko karta hai kalaam-e-aashiqana bhi

na bhulegi hafiz ahbaab ko ye sarguzisht apni
jahaan mein yaad rah jaayega kuchh apna fasana bhi

बिगड़ जाते थे सुन कर याद है कुछ वो ज़माना भी
कोई करता था जब मेरी शिकायत ग़ाएबाना भी

वो जिस पर मेहरबाँ होते हैं दुनिया उस की होती है
नज़र उन की पलटते ही पलटता है ज़माना भी

सुना करता हूँ ता'ने हिज्र में क्या क्या रक़ीबों के
बना हूँ इस मोहब्बत में मलामत का निशाना भी

यहाँ भी फ़र्ज़ है ज़ाहिद अदब से सर झुका लेना
मिरे नज़दीक का'बा है किसी का आस्ताना भी

फ़रेब-ए-दाम में लाई है कुछ सय्याद की ख़ातिर
क़फ़स में खींच कर लाया हमें कुछ आब-ओ-दाना भी

जला कर दिल मिरा सय्याद का ठंडा कलेजा कर
कहीं ऐ बर्क़ जल्दी फूँक मेरा आशियाना भी

बिगड़ते देर होती है न बनते देर होती है
मिज़ाज-ए-यार से कुछ मिलता-जुलता है ज़माना भी

हसीं पढ़ कर ग़ज़ल मेरी मिरे मुश्ताक़ होते हैं
मुसख़्ख़र दिल को करता है कलाम-ए-आशिक़ाना भी

न भूलेगी हफ़ीज़ अहबाब को ये सरगुज़िश्त अपनी
जहाँ में याद रह जाएगा कुछ अपना फ़साना भी

  - Hafeez Jaunpuri

One sided love Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Hafeez Jaunpuri

As you were reading Shayari by Hafeez Jaunpuri

Similar Writers

our suggestion based on Hafeez Jaunpuri

Similar Moods

As you were reading One sided love Shayari Shayari