jaan hi jaaye to jaaye dard-e-dil | जान ही जाए तो जाए दर्द-ए-दिल - Hafeez Jaunpuri

jaan hi jaaye to jaaye dard-e-dil
ik yahi hai ab dawa-e-dard-e-dil

ab tadapne mein maza milta nahin
ho chali jaan aashnaa-e-dard-e-dil

imtihaan-e-zabt hai manzoor aaj
jis qadar chahe sataaye dard-e-dil

bhaagti hai door jis se maut bhi
vo bala hai ye bala-e-dard-e-dil

rehm kab aaya kisi be-dard ko
ho chuki jab intihaa-e-dard-e-dil

kha ke kuch so rahte hain hirmaan-naseeb
ek ye bhi hai dawa-e-dard-e-dil

ham mareezon ka nahin mumkin ilaaj
la-dava hain mubtala-e-dard-e-dil

rahti hai seene hi par tasveer-e-dost
hai ye ta'aweez ik bara-e-dard-e-dil

rote rote bandh gai hichki hafiz
jab kaha kuch maajra-e-dard-e-dil

जान ही जाए तो जाए दर्द-ए-दिल
इक यही है अब दवा-ए-दर्द-ए-दिल

अब तड़पने में मज़ा मिलता नहीं
हो चली जाँ आश्ना-ए-दर्द-ए-दिल

इम्तिहान-ए-ज़ब्त है मंज़ूर आज
जिस क़दर चाहे सताए दर्द-ए-दिल

भागती है दूर जिस से मौत भी
वो बला है ये बला-ए-दर्द-ए-दिल

रहम कब आया किसी बे-दर्द को
हो चुकी जब इंतिहा-ए-दर्द-ए-दिल

खा के कुछ सो रहते हैं हिर्मां-नसीब
एक ये भी है दवा-ए-दर्द-ए-दिल

हम मरीज़ों का नहीं मुमकिन इलाज
ला-दवा हैं मुब्तला-ए-दर्द-ए-दिल

रहती है सीने ही पर तस्वीर-ए-दोस्त
है ये ता'वीज़ इक बरा-ए-दर्द-ए-दिल

रोते रोते बंध गई हिचकी 'हफ़ीज़'
जब कहा कुछ माजरा-ए-दर्द-ए-दिल

- Hafeez Jaunpuri
0 Likes

Mehboob Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Hafeez Jaunpuri

As you were reading Shayari by Hafeez Jaunpuri

Similar Writers

our suggestion based on Hafeez Jaunpuri

Similar Moods

As you were reading Mehboob Shayari Shayari