junoon ke josh mein firte hain maare maare ab
ajal laga de kahi gor ke kinaare ab
gaya jo haath se vo waqt phir nahin aata
kahaan umeed ki phir din phiren hamaare ab
ajab nahin hai ki phir aaj ham sehar dekhen
ki aasmaan pe ginti ke hain sitaare ab
jab us ke haath mein dil hai meri bala jaane
mile vo paanv se ya apne sar se vaare ab
inaayaton ki vo baatein na vo karam ki nigaah
badal gaye hain kuchh andaaz ab tumhaare ab
ye dar hai ho na sar-e-rahguzaar hangaama
samajh ke kijie darbaan se kuchh ishaare ab
hafiz sochie is baat mein hain do pahluu
kaha hai us ne ki ab ho chuke tumhaare ab
जुनूँ के जोश में फिरते हैं मारे मारे अब
अजल लगा दे कहीं गोर के किनारे अब
गया जो हाथ से वो वक़्त फिर नहीं आता
कहाँ उमीद कि फिर दिन फिरें हमारे अब
अजब नहीं है कि फिर आज हम सहर देखें
कि आसमान पे गिनती के हैं सितारे अब
जब उस के हाथ में दिल है मिरी बला जाने
मिले वो पाँव से या अपने सर से वारे अब
इनायतों की वो बातें न वो करम की निगाह
बदल गए हैं कुछ अंदाज़ अब तुम्हारे अब
ये डर है हो न सर-ए-रहगुज़ार हंगामा
समझ के कीजिए दरबाँ से कुछ इशारे अब
'हफ़ीज़' सोचिए इस बात में हैं दो पहलू
कहा है उस ने कि अब हो चुके तुम्हारे अब
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Hafeez Jaunpuri
our suggestion based on Hafeez Jaunpuri
As you were reading Wahshat Shayari Shayari