dil ko isee sabab se hai iztiraab shaayad
qaasid fira hai le kar khat ka jawaab shaayad
aankhen chadhi hui hain baatein hain bahki bahki
aaye ho tum kahi se pee kar sharaab shaayad
kya jaane kis hawa mein itna ubhar raha hai
hasti nahin samajhta apni habaab shaayad
mujh par jo vo sehar se is darja meherbaan hain
shab ki dua hui hai kuchh mustajaab shaayad
beemaar hoon bandhi hai dhun raat-din safar ki
gurbat mein apni mitti hogi kharab shaayad
pichhle se vasl ki shab aasaar subh ke hain
niklega raat hi se aaj aftaab shaayad
aaya bahut dinon par zaahid jo may-kade mein
bhooli hui thi us ko raah-e-sawaab shaayad
barsaat ki kami se kya qadr ghat gai hai
aisi kabhi biki ho arzaan sharaab shaayad
apne dimaagh mein to ab ye basi hui hai
behtar tire paseene se ho gulaab shaayad
bazm-e-aduu mein aa kar jis tarah ham jale hain
dozakh mein ho kisi par aisa azaab shaayad
ashkon se tar hui thi yun raat sej un ki
yaad aa gaya tha koi hangaam-e-khwaab shaayad
ai shaikh tu mila kar dekh un se umr apni
huroon ka dhal gaya ho ab to shabaab shaayad
tauba hafiz may ka pad jaaye jis ko chaska
phir us se marte dam tak chhoote sharaab shaayad
दिल को इसी सबब से है इज़्तिराब शायद
क़ासिद फिरा है ले कर ख़त का जवाब शायद
आँखें चढ़ी हुई हैं बातें हैं बहकी बहकी
आए हो तुम कहीं से पी कर शराब शायद
क्या जाने किस हवा में इतना उभर रहा है
हस्ती नहीं समझता अपनी हबाब शायद
मुझ पर जो वो सहर से इस दर्जा मेहरबाँ हैं
शब की दुआ हुई है कुछ मुस्तजाब शायद
बीमार हूँ बंधी है धुन रात-दिन सफ़र की
ग़ुर्बत में अपनी मिट्टी होगी ख़राब शायद
पिछले से वस्ल की शब आसार सुब्ह के हैं
निकलेगा रात ही से आज आफ़्ताब शायद
आया बहुत दिनों पर ज़ाहिद जो मय-कदे में
भूली हुई थी उस को राह-ए-सवाब शायद
बरसात की कमी से क्या क़द्र घट गई है
ऐसी कभी बिकी हो अर्ज़ां शराब शायद
अपने दिमाग़ में तो अब ये बसी हुई है
बेहतर तिरे पसीने से हो गुलाब शायद
बज़्म-ए-अदू में आ कर जिस तरह हम जले हैं
दोज़ख़ में हो किसी पर ऐसा अज़ाब शायद
अश्कों से तर हुई थी यूँ रात सेज उन की
याद आ गया था कोई हंगाम-ए-ख़्वाब शायद
ऐ शैख़ तू मिला कर देख उन से उम्र अपनी
हूरों का ढल गया हो अब तो शबाब शायद
तौबा 'हफ़ीज़' मय का पड़ जाए जिस को चसका
फिर उस से मरते दम तक छूटे शराब शायद
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Hafeez Jaunpuri
our suggestion based on Hafeez Jaunpuri
As you were reading Bekhudi Shayari Shayari