zamaane ka bharosa kya abhi kuchh hai abhi kuchh hai | ज़माने का भरोसा क्या अभी कुछ है अभी कुछ है

  - Hafeez Jaunpuri

zamaane ka bharosa kya abhi kuchh hai abhi kuchh hai
yahi hai rang duniya ka abhi kuchh hai abhi kuchh hai

jawaani ki hai aamad husn ki har-dam tarqqi hai
tiri soorat tira naqsha abhi kuchh hai abhi kuchh hai

na aayega qaraar us ko na mumkin hai qayaam us ko
hamaara dil tira wa'da abhi kuchh hai abhi kuchh hai

kabhi to justuju us ki kabhi gum aap ho jaana
meri vehshat mera sauda abhi kuchh hai abhi kuchh hai

ghuroor-e-husn hai sar mein khayaal-e-dilbari dil mein
dimaagh un ka mizaaj un ka abhi kuchh hai abhi kuchh hai

zara main meherbaan hona zara main jaan ke dushman
ajab dil hai haseenon ka abhi kuchh hai abhi kuchh hai

tumhein kyun is qadar gham hai hafiz apni tabaahi ka
yahi duniya ka hai naqsha abhi kuchh hai abhi kuchh hai

ज़माने का भरोसा क्या अभी कुछ है अभी कुछ है
यही है रंग दुनिया का अभी कुछ है अभी कुछ है

जवानी की है आमद हुस्न की हर-दम तरक़्क़ी है
तिरी सूरत तिरा नक़्शा अभी कुछ है अभी कुछ है

न आएगा क़रार उस को न मुमकिन है क़याम उस को
हमारा दिल तिरा वा'दा अभी कुछ है अभी कुछ है

कभी तो जुस्तुजू उस की कभी गुम आप हो जाना
मिरी वहशत मिरा सौदा अभी कुछ है अभी कुछ है

ग़ुरूर-ए-हुस्न है सर में ख़याल-ए-दिलबरी दिल में
दिमाग़ उन का मिज़ाज उन का अभी कुछ है अभी कुछ है

ज़रा मैं मेहरबाँ होना ज़रा मैं जान के दुश्मन
अजब दिल है हसीनों का अभी कुछ है अभी कुछ है

तुम्हें क्यूँ इस क़दर ग़म है 'हफ़ीज़' अपनी तबाही का
यही दुनिया का है नक़्शा अभी कुछ है अभी कुछ है

  - Hafeez Jaunpuri

Husn Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Hafeez Jaunpuri

As you were reading Shayari by Hafeez Jaunpuri

Similar Writers

our suggestion based on Hafeez Jaunpuri

Similar Moods

As you were reading Husn Shayari Shayari