shab-e-visaal ye kahte hain vo suna ke mujhe | शब-ए-विसाल ये कहते हैं वो सुना के मुझे

  - Hafeez Jaunpuri

shab-e-visaal ye kahte hain vo suna ke mujhe
kisi ne loot liya apne ghar bula ke mujhe

pukaarta nahin koi lahd par aa ke mujhe
mere naseeb bhi kya so rahe sula ke mujhe

vo bole vasl ke shab aap mein na pa ke mujhe
chale gaye hain kahaan apne ghar bula ke mujhe

gira diya hai kuchh is tarah us ne aankhon se
ki dekhta nahin koi nazar utha ke mujhe

pari thi koi chhalaava thi ya jawaani thi
kahaan ye ho gai champt jhalak dikha ke mujhe

tumhaari bazm mein aaye to jaam-e-may mujh tak
bala se de de koi zahar hi mila ke mujhe

utha jo bazm se un ki to rok kar ye kaha
ki le chale ho kahaan dil mein tum chhupa ke mujhe

ye tere hijr ka gham tha vo tere ishq ka daagh
gaya jo kha ke mujhe jo mita mita ke mujhe

jahaan pe jaate hue mere hosh udte hain
tira khayal wahan le chala laga ke mujhe

mujhe hai ghash unhen hairat ajeeb aalam hai
main kho gaya hoon unhen dekh kar vo pa ke mujhe

meri nigaah mein phirti hai meri maut ki shakl
jab aap dekhte hain tevariyaan chadha ke mujhe

na dekho aaina dekho mera kaha maano
dikhaao gair ko soorat na munh dikha ke mujhe

tadap le dil ki ye kah kah ke koi aata hai
bitha diya hai lahd mein utha utha ke mujhe

gale laga de karoon pyaar teri teg ko main
ki yaad aaye karishme tiri ada ke mujhe

ye mere rone pe hansati hai kyun meri taqdeer
vo apne dil mein to kudhte nahin rula ke mujhe

jo mitti di hai to ab faatiha bhi padhte jaao
kuchh ab savaab bhi lo khaak mein mila ke mujhe

hafiz hashr mein kar hi chuka tha main fariyaad
ki us ne daant diya saamne se aa ke mujhe

शब-ए-विसाल ये कहते हैं वो सुना के मुझे
किसी ने लूट लिया अपने घर बुला के मुझे

पुकारता नहीं कोई लहद पर आ के मुझे
मिरे नसीब भी क्या सो रहे सुला के मुझे

वो बोले वस्ल के शब आप में न पा के मुझे
चले गए हैं कहाँ अपने घर बुला के मुझे

गिरा दिया है कुछ इस तरह उस ने आँखों से
कि देखता नहीं कोई नज़र उठा के मुझे

परी थी कोई छलावा थी या जवानी थी
कहाँ ये हो गई चम्पत झलक दिखा के मुझे

तुम्हारी बज़्म में आए तो जाम-ए-मय मुझ तक
बला से दे दे कोई ज़हर ही मिला के मुझे

उठा जो बज़्म से उन की तो रोक कर ये कहा
कि ले चले हो कहाँ दिल में तुम छुपा के मुझे

ये तेरे हिज्र का ग़म था वो तेरे इश्क़ का दाग़
गया जो खा के मुझे जो मिटा मिटा के मुझे

जहाँ पे जाते हुए मेरे होश उड़ते हैं
तिरा ख़याल वहाँ ले चला लगा के मुझे

मुझे है ग़श उन्हें हैरत अजीब आलम है
मैं खो गया हूँ उन्हें देख कर वो पा के मुझे

मिरी निगाह में फिरती है मेरी मौत की शक्ल
जब आप देखते हैं तेवरियाँ चढ़ा के मुझे

न देखो आईना देखो मिरा कहा मानो
दिखाओ ग़ैर को सूरत न मुँह दिखा के मुझे

तड़प ले दिल की ये कह कह के कोई आता है
बिठा दिया है लहद में उठा उठा के मुझे

गले लगा दे करूँ प्यार तेरी तेग़ को मैं
कि याद आए करिश्मे तिरी अदा के मुझे

ये मेरे रोने पे हँसती है क्यूँ मिरी तक़दीर
वो अपने दिल में तो कुढ़ते नहीं रुला के मुझे

जो मिट्टी दी है तो अब फ़ातिहा भी पढ़ते जाओ
कुछ अब सवाब भी लो ख़ाक में मिला के मुझे

'हफ़ीज़' हश्र में कर ही चुका था मैं फ़रियाद
कि उस ने डाँट दिया सामने से आ के मुझे

  - Hafeez Jaunpuri

Charagh Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Hafeez Jaunpuri

As you were reading Shayari by Hafeez Jaunpuri

Similar Writers

our suggestion based on Hafeez Jaunpuri

Similar Moods

As you were reading Charagh Shayari Shayari