patthar se na maaro mujhe deewaana samajh kar | पत्थर से न मारो मुझे दीवाना समझ कर

  - Hafeez Jaunpuri

patthar se na maaro mujhe deewaana samajh kar
aaya hoon idhar koocha-e-jaanaana samajh kar

kahte hain ye rone se lagi dil ki bujhegi
samjhaate hain apna mujhe parwaana samajh kar

main vo hoon ki seeri mujhe hoti nahin may se
dena mere saaqi mujhe paimaana samajh kar

nakhwat se jo ik baat na sunte the hamaari
khud chhed rahe hain hamein deewaana samajh kar

ham un ke hain dil un ka hai jaan un ki hai lekin
phir munh ko chhupaate hain vo begaana samajh kar

rakha na kahi ka hamein barbaadi-e-dil ne
armaan theharte nahin veeraana samajh kar

dekh aap se baahar na ho mansoor ki soorat
karna hai to kar naara-e-mastaana samajh kar

ham aur hi kuchh dhoondte firte hain buton mein
but-khaane mein jaate nahin but-khaana samajh kar

khooban se pate ya na pate vasl ka sauda
dil pehle hi le lete hain bai'aana samajh kar

saaqi ki jo aankhon ko hui bazm mein gardish
ham laut gaye gardish-e-paimaana samajh kar

kah jaate hafiz un ko ho tum josh mein kya kuchh
vo tarah diye jaate hain deewaana samajh kar

पत्थर से न मारो मुझे दीवाना समझ कर
आया हूँ इधर कूचा-ए-जानाना समझ कर

कहते हैं ये रोने से लगी दिल की बुझेगी
समझाते हैं अपना मुझे परवाना समझ कर

मैं वो हूँ कि सेरी मुझे होती नहीं मय से
देना मिरे साक़ी मुझे पैमाना समझ कर

नख़वत से जो इक बात न सुनते थे हमारी
ख़ुद छेड़ रहे हैं हमें दीवाना समझ कर

हम उन के हैं दिल उन का है जाँ उन की है लेकिन
फिर मुँह को छुपाते हैं वो बेगाना समझ कर

रक्खा न कहीं का हमें बर्बादी-ए-दिल ने
अरमान ठहरते नहीं वीराना समझ कर

देख आप से बाहर न हो मंसूर की सूरत
करना है तो कर नारा-ए-मस्ताना समझ कर

हम और ही कुछ ढूँडते फिरते हैं बुतों में
बुत-ख़ाने में जाते नहीं बुत-ख़ाना समझ कर

ख़ूबाँ से पटे या न पटे वस्ल का सौदा
दिल पहले ही ले लेते हैं बैआना समझ कर

साक़ी की जो आँखों को हुई बज़्म में गर्दिश
हम लौट गए गर्दिश-ए-पैमाना समझ कर

कह जाते 'हफ़ीज़' उन को हो तुम जोश में क्या कुछ
वो तरह दिए जाते हैं दीवाना समझ कर

  - Hafeez Jaunpuri

Masti Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Hafeez Jaunpuri

As you were reading Shayari by Hafeez Jaunpuri

Similar Writers

our suggestion based on Hafeez Jaunpuri

Similar Moods

As you were reading Masti Shayari Shayari