duniya mein yun to har koi apni si kar gaya | दुनिया में यूँ तो हर कोई अपनी सी कर गया

  - Hafeez Jaunpuri

duniya mein yun to har koi apni si kar gaya
zinda hai us ka naam kisi par jo mar gaya

subh-e-shab-e-visaal hai aaina haath mein
sharmaa ke kah rahe hain ki chehra utar gaya

saaqi ki badh chali hain jo be-iltefaatiyaan
shaayad hamaari umr ka paimaana bhar gaya

itna to jaante hain ki pahluu mein dil nahin
us ki khabar nahin ki kahaan hai kidhar gaya

ham se jo aap rooth ke jaate hain jaaie
sun leejiyega zahar koi kha ke mar gaya

jaata raha shabaab to kuchh sujhne lagi
aankhen khuliin sharaab ka nashsha utar gaya

naaseh kahaan ka chhed diya tu ne aa ke zikr
us ka khayal phir mujhe bechain kar gaya

do din mein ye mizaaj ki haalat badal gai
kal sar chadha tha aaj nazar se utar gaya

achha hua jo aap ayaadat ko aa gaye
sar ka ye ek bojh tha vo bhi utar gaya

tere mareez-e-hijr ka ab to ye haal hai
aaya jo dekhne ko vo baa-chashm-e-tar gaya

chheda kisi ne zikr-e-mohabbat jo ai hafiz
dil par ajeeb tarah ka sadma guzar gaya

दुनिया में यूँ तो हर कोई अपनी सी कर गया
ज़िंदा है उस का नाम किसी पर जो मर गया

सुब्ह-ए-शब-ए-विसाल है आईना हाथ में
शरमा के कह रहे हैं कि चेहरा उतर गया

साक़ी की बढ़ चली हैं जो बे-इलतिफ़ातियाँ
शायद हमारी उम्र का पैमाना भर गया

इतना तो जानते हैं कि पहलू में दिल नहीं
उस की ख़बर नहीं कि कहाँ है किधर गया

हम से जो आप रूठ के जाते हैं जाइए
सुन लीजिएगा ज़हर कोई खा के मर गया

जाता रहा शबाब तो कुछ सूझने लगी
आँखें खुलीं शराब का नश्शा उतर गया

नासेह कहाँ का छेड़ दिया तू ने आ के ज़िक्र
उस का ख़याल फिर मुझे बेचैन कर गया

दो दिन में ये मिज़ाज की हालत बदल गई
कल सर चढ़ा था आज नज़र से उतर गया

अच्छा हुआ जो आप अयादत को आ गए
सर का ये एक बोझ था वो भी उतर गया

तेरे मरीज़-ए-हिज्र का अब तो ये हाल है
आया जो देखने को वो बा-चश्म-ए-तर गया

छेड़ा किसी ने ज़िक्र-ए-मोहब्बत जो ऐ 'हफ़ीज़'
दिल पर अजीब तरह का सदमा गुज़र गया

  - Hafeez Jaunpuri

Aankhein Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Hafeez Jaunpuri

As you were reading Shayari by Hafeez Jaunpuri

Similar Writers

our suggestion based on Hafeez Jaunpuri

Similar Moods

As you were reading Aankhein Shayari Shayari