ye sab kehne ki baatein hain ki aisa ho nahin saka | ये सब कहने की बातें हैं कि ऐसा हो नहीं सकता

  - Hafeez Jaunpuri

ye sab kehne ki baatein hain ki aisa ho nahin saka
mohabbat mein jo dil mil jaaye phir kya ho nahin saka

shikaayat ho nahin sakti ki shikwa ho nahin saka
zara sa chhed de koi to phir kya ho nahin saka

buraai ka evaz hargiz bhalaai ho nahin sakti
bura kah kar kisi ko koi achha ho nahin saka

hamaara un ka qissa log sunte hain to kahte hain
maza hai hashr tak yaksu ye jhagda ho nahin saka

karein teri shikaayat kya ki tu ik dost hai apna
kisi dushman ka bhi ham se to shikwa ho nahin saka

ilaahi jazb-e-dil ki is kashish se baaz aaya main
koi parda-nasheen kehta hai parda ho nahin saka

hafiz un ki ghazal hai chot kha baithi hain jo dil par
baghair is ke sukhun mein lutf paida ho nahin saka

ये सब कहने की बातें हैं कि ऐसा हो नहीं सकता
मोहब्बत में जो दिल मिल जाए फिर क्या हो नहीं सकता

शिकायत हो नहीं सकती कि शिकवा हो नहीं सकता
ज़रा सा छेड़ दे कोई तो फिर क्या हो नहीं सकता

बुराई का एवज़ हरगिज़ भलाई हो नहीं सकती
बुरा कह कर किसी को कोई अच्छा हो नहीं सकता

हमारा उन का क़िस्सा लोग सुनते हैं तो कहते हैं
मज़ा है हश्र तक यकसू ये झगड़ा हो नहीं सकता

करें तेरी शिकायत क्या कि तू इक दोस्त है अपना
किसी दुश्मन का भी हम से तो शिकवा हो नहीं सकता

इलाही जज़्ब-ए-दिल की इस कशिश से बाज़ आया मैं
कोई पर्दा-नशीं कहता है पर्दा हो नहीं सकता

'हफ़ीज़' उन की ग़ज़ल है चोट खा बैठी हैं जो दिल पर
बग़ैर इस के सुख़न में लुत्फ़ पैदा हो नहीं सकता

  - Hafeez Jaunpuri

Intiqam Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Hafeez Jaunpuri

As you were reading Shayari by Hafeez Jaunpuri

Similar Writers

our suggestion based on Hafeez Jaunpuri

Similar Moods

As you were reading Intiqam Shayari Shayari