dil par laga rahi hai vo neechi nigaah chot
phir chot bhi vo chot jo hai be-panaah chot
phoda sar us ke dar se ki barase junoon mein sang
mujh ko dila rahi hai ajab ishtibaah chot
bijli ka naam sunte hi aankhen jhapak gaeein
rokegi meri aah ki kya ye nigaah chot
laalach asar ka ho na kahi bais-e-zarar
takra ke sar falak se na kha jaaye aah chot
munh har dahan-e-zakhm ka seete hain is liye
matlab hai hashr mein bhi na ho daad-khwaah chot
milti hai chup ki daad ye mashhoor baat hai
jal jaaye aasmaan jo kare zabt aah chot
uthte hi dil mein tees jigar mein tapak hui
karti hai dard-e-hijr se goya nibaah chot
chaukhat pe teri shab ko patkata hai sar hafiz
baawar na ho to dekh jabeen hai gawaah chot
दिल पर लगा रही है वो नीची निगाह चोट
फिर चोट भी वो चोट जो है बे-पनाह चोट
फोड़ा सर उस के दर से कि बरसे जुनूँ में संग
मुझ को दिला रही है अजब इश्तिबाह चोट
बिजली का नाम सुनते ही आँखें झपक गईं
रोकेगी मेरी आह की क्या ये निगाह चोट
लालच असर का हो न कहीं बाइस-ए-ज़रर
टकरा के सर फ़लक से न खा जाए आह चोट
मुँह हर दहान-ए-ज़ख़्म का सीते हैं इस लिए
मतलब है हश्र में भी न हो दाद-ख़्वाह चोट
मिलती है चुप की दाद ये मशहूर बात है
जल जाए आसमाँ जो करे ज़ब्त आह चोट
उठते ही दिल में टीस जिगर में टपक हुई
करती है दर्द-ए-हिज्र से गोया निबाह चोट
चौखट पे तेरी शब को पटकता है सर 'हफ़ीज़'
बावर न हो तो देख जबीन है गवाह चोट
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Hafeez Jaunpuri
our suggestion based on Hafeez Jaunpuri
As you were reading Aawargi Shayari Shayari