shikwa karte hain zabaan se na gila karte hain | शिकवा करते हैं ज़बाँ से न गिला करते हैं

  - Hafeez Jaunpuri

shikwa karte hain zabaan se na gila karte hain
tum salaamat raho ham to ye dua karte hain

phir mere dil ke phasaane ki hui hai tadbeer
phir naye sar se vo paimaan-e-wafa karte hain

tum mujhe haath utha kar is ada se koso
dekhne waale ye samjhen ki dua karte hain

in haseenon ka hai duniya se niraala andaaz
shokhiyaan bazm mein khilwat mein haya karte hain

hashr ka zikr na kar us ki gali mein wa'iz
aise hangaame yahan roz hua karte hain

laag hai ham se adoo ko to adoo se hamein rashk
ek hi aag mein ham dono jala karte hain

un ka shikwa na raqeebon ki shikaayat hai hafiz
sirf ham apne muqaddar ka gila karte hain

शिकवा करते हैं ज़बाँ से न गिला करते हैं
तुम सलामत रहो हम तो ये दुआ करते हैं

फिर मिरे दिल के फँसाने की हुई है तदबीर
फिर नए सर से वो पैमान-ए-वफ़ा करते हैं

तुम मुझे हाथ उठा कर इस अदा से कोसो
देखने वाले ये समझें कि दुआ करते हैं

इन हसीनों का है दुनिया से निराला अंदाज़
शोख़ियाँ बज़्म में ख़ल्वत में हया करते हैं

हश्र का ज़िक्र न कर उस की गली में वाइ'ज़
ऐसे हंगामे यहाँ रोज़ हुआ करते हैं

लाग है हम से अदू को तो अदू से हमें रश्क
एक ही आग में हम दोनों जला करते हैं

उन का शिकवा न रक़ीबों की शिकायत है 'हफ़ीज़'
सिर्फ़ हम अपने मुक़द्दर का गिला करते हैं

  - Hafeez Jaunpuri

Nazakat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Hafeez Jaunpuri

As you were reading Shayari by Hafeez Jaunpuri

Similar Writers

our suggestion based on Hafeez Jaunpuri

Similar Moods

As you were reading Nazakat Shayari Shayari