ajab zamaane ki gardishein hain khuda hi bas yaad aa raha hai | अजब ज़माने की गर्दिशें हैं ख़ुदा ही बस याद आ रहा है

  - Hafeez Jaunpuri

ajab zamaane ki gardishein hain khuda hi bas yaad aa raha hai
nazar na jis se milaate the ham wahi ab aankhen dikha raha hai

badhi hai aapas mein bad-gumaani maza mohabbat ka aa raha hai
ham us ke dil ko tatolte hain to ham ko vo aazma raha hai

ghar apna karti hai na-ummeedi hamaare dil mein gazab hai dekhiyo
ye vo makaan hai ki jis mein barson umeedon ka jamghata raha hai

badal gaya hai mizaaj un ka main apne is jazb-e-dil ke sadqe
wahi shikaayat hai ab udhar se idhar jo pehle gila raha hai

kisi ki jab aas toot jaaye to khaak vo aasraa lagaaye
shikasta dil kar ke mujh ko zalim nigaah ab kya mila raha hai

yahan to tark-e-sharaab se khud dil-o-jigar funk rahe hain waiz
suna ke dozakh ka zikr-e-naahak jale ko tu bhi jala raha hai

karoon na kyun husn ka nazaara sunoon na kyun ishq ka fasana
isee ka to mashghala tha barson isee ka to valvala raha hai

umeed jab had se badh gai ho to haasil us ka hai na-ummeedi
bhala na kyun yaas dafatan ho ki muddaton aasraa raha hai

mujhe tavakko ho kya khabar ki zabaan hai qaasid ki haath bhar ki
lagi hawa tak nahin udhar ki abhi se baatein bana raha hai

zara yahan jis ne sar uthaya ki us ne neecha use dikhaaya
koi bataaye to ye zamaana kasi ka bhi aashna raha hai

hafiz apna kamaal tha ye ki jis ke haathon zawaal dekha
falak ne jitna hamein badhaaya ziyaada us se ghatta raha hai

अजब ज़माने की गर्दिशें हैं ख़ुदा ही बस याद आ रहा है
नज़र न जिस से मिलाते थे हम वही अब आँखें दिखा रहा है

बढ़ी है आपस में बद-गुमानी मज़ा मोहब्बत का आ रहा है
हम उस के दिल को टटोलते हैं तो हम को वो आज़मा रहा है

घर अपना करती है ना-उमीदी हमारे दिल में ग़ज़ब है देखियो
ये वो मकाँ है कि जिस में बरसों उमीदों का जमघटा रहा है

बदल गया है मिज़ाज उन का मैं अपने इस जज़्ब-ए-दिल के सदक़े
वही शिकायत है अब उधर से इधर जो पहले गिला रहा है

किसी की जब आस टूट जाए तो ख़ाक वो आसरा लगाए
शिकस्ता दिल कर के मुझ को ज़ालिम निगाह अब क्या मिला रहा है

यहाँ तो तर्क-ए-शराब से ख़ुद दिल-ओ-जिगर फुंक रहे हैं वाइज़
सुना के दोज़ख़ का ज़िक्र-ए-नाहक़ जले को तू भी जला रहा है

करूँ न क्यूँ हुस्न का नज़ारा सुनूँ न क्यूँ इश्क़ का फ़साना
इसी का तो मश्ग़ला था बरसों इसी का तो वलवला रहा है

उमीद जब हद से बढ़ गई हो तो हासिल उस का है ना-उमीदी
भला न क्यूँ यास दफ़अतन हो कि मुद्दतों आसरा रहा है

मुझे तवक़्क़ो हो क्या ख़बर की ज़बाँ है क़ासिद की हाथ भर की
लगी हवा तक नहीं उधर की अभी से बातें बना रहा है

ज़रा यहाँ जिस ने सर उठाया कि उस ने नीचा उसे दिखाया
कोई बताए तो ये ज़माना कसी का भी आश्ना रहा है

'हफ़ीज़' अपना कमाल था ये कि जिस के हाथों ज़वाल देखा
फ़लक ने जितना हमें बढ़ाया ज़ियादा उस से घटा रहा है

  - Hafeez Jaunpuri

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Hafeez Jaunpuri

As you were reading Shayari by Hafeez Jaunpuri

Similar Writers

our suggestion based on Hafeez Jaunpuri

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari