idhar hote hote udhar hote hote
hui dil ki dil ko khabar hote hote
badhi chaah dono taraf badhte badhte
mohabbat hui is qadar hote hote
tira raasta shaam se takte takte
meri aas tooti sehar hote hote
kiye ja abhi mask-e-fariyaad-e-bulbul
ki hota hai paida asar hote hote
na sambhala mohabbat ka beemaar aakhir
gai jaan dard-e-jigar hote hote
sar-e-shaam hi jab hai ye dil ki haalat
to kya kya na hoga sehar hote hote
zamaane mein un ke sukhun ka hai shohra
hafiz ab hue naamvar hote hote
इधर होते होते उधर होते होते
हुई दिल की दिल को ख़बर होते होते
बढ़ी चाह दोनों तरफ़ बढ़ते बढ़ते
मोहब्बत हुई इस क़दर होते होते
तिरा रास्ता शाम से तकते तकते
मिरी आस टूटी सहर होते होते
किए जा अभी मश्क़-ए-फ़रियाद-ए-बुलबुल
कि होता है पैदा असर होते होते
न सँभला मोहब्बत का बीमार आख़िर
गई जान दर्द-ए-जिगर होते होते
सर-ए-शाम ही जब है ये दिल की हालत
तो क्या क्या न होगा सहर होते होते
ज़माने में उन के सुख़न का है शोहरा
'हफ़ीज़' अब हुए नामवर होते होते
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Hafeez Jaunpuri
our suggestion based on Hafeez Jaunpuri
As you were reading Shaam Shayari Shayari