na aa jaaye kisi par dil kisi ka | न आ जाए किसी पर दिल किसी का

  - Hafeez Jaunpuri

na aa jaaye kisi par dil kisi ka
na ho yaarab koi maail kisi ka

laga ik haath bhi kya dekhta hai
kahi karte hain dar qaateel kisi ka

ada se us ne do baatein bana kar
kisi ki jaan le li dil kisi ka

utha jab dard-e-pahlu dil pukaara
nahin koi dam-e-mushkil kisi ka

abhi jeena pada kuchh din hamein aur
talaa phir waada-e-baatil kisi ka

bahut aahista chilman ko uthaana
milen aankhen ki baitha dil kisi ka

hafiz is tarah bharte ho jo aahen
dukhaaoge magar tum dil kisi ka

न आ जाए किसी पर दिल किसी का
न हो यारब कोई माइल किसी का

लगा इक हाथ भी क्या देखता है
कहीं करते हैं डर क़ातिल किसी का

अदा से उस ने दो बातें बना कर
किसी की जान ले ली दिल किसी का

उठा जब दर्द-ए-पहलू दिल पुकारा
नहीं कोई दम-ए-मुश्किल किसी का

अभी जीना पड़ा कुछ दिन हमें और
टला फिर वादा-ए-बातिल किसी का

बहुत आहिस्ता चिलमन को उठाना
मिलें आँखें कि बैठा दिल किसी का

'हफ़ीज़' इस तरह भरते हो जो आहें
दुखाओगे मगर तुम दिल किसी का

  - Hafeez Jaunpuri

Chehra Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Hafeez Jaunpuri

As you were reading Shayari by Hafeez Jaunpuri

Similar Writers

our suggestion based on Hafeez Jaunpuri

Similar Moods

As you were reading Chehra Shayari Shayari