isee khayal se tark un ki chaah kar na sake
kaheinge log ki do din nibaah kar na sake
hamein jo dekh liya jhuk gai haya se aankh
idhar-udhar sar-e-mahfil nigaah kar na sake
khuda ke saamne aaya kuchh is ada se vo shokh
ki munh se uf bhi zara daad-khwaah kar na sake
tire karam ka bharosa hi zaahidon ko nahin
isee liye to ye khul kar nigaah kar na sake
raha ye paas hamein aap ki nazaakat ka
ki dil ka khoon hua munh se aah kar na sake
tumhein hafiz se nafrat hai to ye fikr hai kyun
kisi haseen se vo rasm-o-raah kar na sake
इसी ख़याल से तर्क उन की चाह कर न सके
कहेंगे लोग कि दो दिन निबाह कर न सके
हमें जो देख लिया झुक गई हया से आँख
इधर-उधर सर-ए-महफ़िल निगाह कर न सके
ख़ुदा के सामने आया कुछ इस अदा से वो शोख़
कि मुँह से उफ़ भी ज़रा दाद-ख़्वाह कर न सके
तिरे करम का भरोसा ही ज़ाहिदों को नहीं
इसी लिए तो ये खुल कर निगाह कर न सके
रहा ये पास हमें आप की नज़ाकत का
कि दिल का ख़ून हुआ मुँह से आह कर न सके
तुम्हें 'हफ़ीज़' से नफ़रत है तो ये फ़िक्र है क्यूँ
किसी हसीन से वो रस्म-ओ-राह कर न सके
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Hafeez Jaunpuri
our suggestion based on Hafeez Jaunpuri
As you were reading Tasawwur Shayari Shayari