mohabbat kya badhi hai vaham baaham badhte jaate hain
ham un ko aazmaate hain vo ham ko aazmaate hain
na ghatti shaan-e-maashooqi jo aa jaate ayaadat ko
bure waqton mein achhe log akshar kaam aate hain
jo ham kahte nahin munh se to ye apni muravvat hai
churaana dil ka zaahir hai ki vo aankhen churaate hain
samaan us bazm ka barson hi guzra hai nigaahon se
kab aise-vaise jalse apni aankhon mein samaate hain
kahaan tak imtihaan kab tak mohabbat aazmaaoge
unhin baaton se dil ahl-e-wafa ke chhoot jaate hain
khumaar aankhon mein baaki hai abhi tak bazm-e-dushman ka
tasadduq us dhitaaee ke nazar ham se milaate hain
dil ik jins-e-giraan-maaya hai lekin aankh waalon mein
ye dekhen husn waale is ki qeemat kya lagaate hain
kisi ke sar ki aafat ho hamaare sar hi aati hai
kisi ka dil koi taake magar ham chot khaate hain
gaye vo din ki naame chaak hote the hafiz apne
haseen ab to meri tahreer aankhon se lagaate hain
मोहब्बत क्या बढ़ी है वहम बाहम बढ़ते जाते हैं
हम उन को आज़माते हैं वो हम को आज़माते हैं
न घटती शान-ए-माशूक़ी जो आ जाते अयादत को
बुरे वक़्तों में अच्छे लोग अक्सर काम आते हैं
जो हम कहते नहीं मुँह से तो ये अपनी मुरव्वत है
चुराना दिल का ज़ाहिर है कि वो आँखें चुराते हैं
समाँ उस बज़्म का बरसों ही गुज़रा है निगाहों से
कब ऐसे-वैसे जलसे अपनी आँखों में समाते हैं
कहाँ तक इम्तिहाँ कब तक मोहब्बत आज़माओगे
उन्हीं बातों से दिल अहल-ए-वफ़ा के छूट जाते हैं
ख़ुमार आँखों में बाक़ी है अभी तक बज़्म-ए-दुश्मन का
तसद्दुक़ उस ढिटाई के नज़र हम से मिलाते हैं
दिल इक जिन्स-ए-गिराँ-माया है लेकिन आँख वालों में
ये देखें हुस्न वाले इस की क़ीमत क्या लगाते हैं
किसी के सर की आफ़त हो हमारे सर ही आती है
किसी का दिल कोई ताके मगर हम चोट खाते हैं
गए वो दिन कि नामे चाक होते थे 'हफ़ीज़' अपने
हसीन अब तो मिरी तहरीर आँखों से लगाते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Hafeez Jaunpuri
our suggestion based on Hafeez Jaunpuri
As you were reading Nigaah Shayari Shayari