bataaun kya kisi ko main ki tum kya cheez ho kya ho
meri hasrat mere armaan ho meri tamannaa ho
mohabbat mein qalq ho ranj ho sadma ho eeza ho
ye sab kuchh ho koi parda-nasheen lekin na rusva ho
tum apne husn ki kya bul-hawas se daad paoge
use poocho mere dil se ki tum kya cheez ho kya ho
mere dil ko na mal talvon se apne mein ye darta hoon
kahi aisa na ho us mein koi khaar-e-tamanna ho
na dekhoon kis tarah husn-e-khuda-daad un haseenon ka
bhala un zaahidon ki tarah kaun aankhon ka andha ho
tiri tasveer bhi hai bai's-e-dil-bastagi lekin
use taskin kya ho jo tiri baaton pe marta ho
hafiz aana hua hai phir azeemaabad mein apna
phir agle valvale paida hue ab dekhiye kya ho
बताऊँ क्या किसी को मैं कि तुम क्या चीज़ हो क्या हो
मिरी हसरत मिरे अरमान हो मेरी तमन्ना हो
मोहब्बत में क़लक़ हो रंज हो सदमा हो ईज़ा हो
ये सब कुछ हो कोई पर्दा-नशीं लेकिन न रुस्वा हो
तुम अपने हुस्न की क्या बुल-हवस से दाद पाओगे
उसे पूछो मिरे दिल से कि तुम क्या चीज़ हो क्या हो
मिरे दिल को न मल तलवों से अपने में ये डरता हूँ
कहीं ऐसा न हो उस में कोई ख़ार-ए-तमन्ना हो
न देखूँ किस तरह हुस्न-ए-ख़ुदा-दाद उन हसीनों का
भला उन ज़ाहिदों की तरह कौन आँखों का अंधा हो
तिरी तस्वीर भी है बाइ'स-ए-दिल-बस्तगी लेकिन
उसे तस्कीन क्या हो जो तिरी बातों पे मरता हो
'हफ़ीज़' आना हुआ है फिर अज़ीमाबाद में अपना
फिर अगले वलवले पैदा हुए अब देखिए क्या हो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Hafeez Jaunpuri
our suggestion based on Hafeez Jaunpuri
As you were reading Aarzoo Shayari Shayari