dil hai to tire vasl ke armaan bahut hain | दिल है तो तिरे वस्ल के अरमान बहुत हैं

  - Hafeez Jaunpuri

dil hai to tire vasl ke armaan bahut hain
ye ghar jo salaamat hai to mehmaan bahut hai

main daad ka khwaahan nahin ai daavar-e-mahshar
aaj apne kiye par vo pashemaan bahut hain

dil le ke khilone ki tarah tod na daalen
dar mujh ko yahi hai ki vo naadaan bahut hain

vo phool chadhate hain dabii jaati hai turbat
ma'shooq ke thode se bhi ehsaan bahut hain

tum ko na pasand aaye na lo fer do mujh ko
is dil ke khareedaar meri jaan bahut hain

daanta kabhi ghamze ne kabhi naaz ne toka
khilwat mein bhi saath un ke nigahbaan bahut hain

khaali bhi koi dil hai wahan ishq-e-sanam se
kehne ko to ka'be mein musalmaan bahut hain

shaayad ye asar ho meri aah-e-sehri ka
kuchh subh se vo aaj pareshaan bahut hain

kya shab ko hafiz un se yahin vasl ki thehri
aaj aap ke ghar aish ke samaan bahut hain

दिल है तो तिरे वस्ल के अरमान बहुत हैं
ये घर जो सलामत है तो मेहमान बहुत है

मैं दाद का ख़्वाहाँ नहीं ऐ दावर-ए-महशर
आज अपने किए पर वो पशेमान बहुत हैं

दिल ले के खिलौने की तरह तोड़ न डालें
डर मुझ को यही है कि वो नादान बहुत हैं

वो फूल चढ़ाते हैं दबी जाती है तुर्बत
मा'शूक़ के थोड़े से भी एहसान बहुत हैं

तुम को न पसंद आए न लो फेर दो मुझ को
इस दिल के ख़रीदार मिरी जान बहुत हैं

डाँटा कभी ग़म्ज़े ने कभी नाज़ ने टोका
ख़ल्वत में भी साथ उन के निगहबान बहुत हैं

ख़ाली भी कोई दिल है वहाँ इश्क़-ए-सनम से
कहने को तो का'बे में मुसलमान बहुत हैं

शायद ये असर हो मेरी आह-ए-सहरी का
कुछ सुब्ह से वो आज परेशान बहुत हैं

क्या शब को 'हफ़ीज़' उन से यहीं वस्ल की ठहरी
आज आप के घर ऐश के सामान बहुत हैं

  - Hafeez Jaunpuri

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Hafeez Jaunpuri

As you were reading Shayari by Hafeez Jaunpuri

Similar Writers

our suggestion based on Hafeez Jaunpuri

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari