jab tak ki tabi'at se tabeeyat nahin milti | जब तक कि तबीअ'त से तबीअत नहीं मिलती

  - Hafeez Jaunpuri

jab tak ki tabi'at se tabeeyat nahin milti
hon pyaar ki baatein bhi to lazzat nahin milti

aaraam ghadi-bhar kisi karvat nahin milta
raahat kisi pahluu shab-e-furqat nahin milti

jab tak vo khinche baithe hain dil un se ruka hai
jab tak nahin milte vo tabi'at nahin milti

jeete hain to hoti hai un aankhon se nadaamat
marte hain to us lab se ijaazat nahin milti

us zohad par naazaan na ho zaahid se ye kah do
tasbeeh firaane hi se jannat nahin milti

kya dhundhte hain gor-e-ghareeban mein vo aa kar
kis kushta-e-raftaar ki turbat nahin milti

kis tarah mere ghar vo hafiz aayein ki un ko
ghairoon ki mudaarat se furqat nahin milti

जब तक कि तबीअ'त से तबीअत नहीं मिलती
हों प्यार की बातें भी तो लज़्ज़त नहीं मिलती

आराम घड़ी-भर किसी करवट नहीं मिलता
राहत किसी पहलू शब-ए-फ़ुर्क़त नहीं मिलती

जब तक वो खिंचे बैठे हैं दिल उन से रुका है
जब तक नहीं मिलते वो तबीअ'त नहीं मिलती

जीते हैं तो होती है उन आँखों से नदामत
मरते हैं तो उस लब से इजाज़त नहीं मिलती

उस ज़ोहद पर नाज़ाँ न हो ज़ाहिद से ये कह दो
तस्बीह फिराने ही से जन्नत नहीं मिलती

क्या ढूँढते हैं गोर-ए-ग़रीबाँ में वो आ कर
किस कुश्ता-ए-रफ़्तार की तुर्बत नहीं मिलती

किस तरह मिरे घर वो 'हफ़ीज़' आएँ कि उन को
ग़ैरों की मुदारात से फ़ुर्सत नहीं मिलती

  - Hafeez Jaunpuri

Ibaadat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Hafeez Jaunpuri

As you were reading Shayari by Hafeez Jaunpuri

Similar Writers

our suggestion based on Hafeez Jaunpuri

Similar Moods

As you were reading Ibaadat Shayari Shayari