dil mein hain vasl ke armaan bahut
jam'a is ghar mein hain mehmaan bahut
aaye to dast-e-junoon zoron par
chaak karne ko garebaan bahut
meri jaanib se dil us ka na fira
dushmanon ne to bhare kaan bahut
le ke ik dil gham-e-kaunain diya
aap ke mujh pe hain ehsaan bahut
tark-e-ulft ka humeen ko hai gham
vo bhi hain dil mein pashemaan bahut
dil ke veeraane ka hai aalam kuchh aur
ham ne dekhe hain bayaabaan bahut
khaak hone ko hazaaron hasrat
khoon hone ko hain armaan bahut
sadma-e-hijr uthaana mushkil
jaan dena to hai aasaan bahut
rashk jin par hai farishton ko hafiz
aise duniya mein hain insaan bahut
दिल में हैं वस्ल के अरमान बहुत
जम्अ' इस घर में हैं मेहमान बहुत
आए तो दस्त-ए-जुनूँ ज़ोरों पर
चाक करने को गरेबान बहुत
मेरी जानिब से दिल उस का न फिरा
दुश्मनों ने तो भरे कान बहुत
ले के इक दिल ग़म-ए-कौनैन दिया
आप के मुझ पे हैं एहसान बहुत
तर्क-ए-उल्फ़त का हमीं को है ग़म
वो भी हैं दिल में पशेमान बहुत
दिल के वीराने का है आलम कुछ और
हम ने देखे हैं बयाबान बहुत
ख़ाक होने को हज़ारों हसरत
ख़ून होने को हैं अरमान बहुत
सदमा-ए-हिज्र उठाना मुश्किल
जान देना तो है आसान बहुत
रश्क जिन पर है फ़रिश्तों को 'हफ़ीज़'
ऐसे दुनिया में हैं इंसान बहुत
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Hafeez Jaunpuri
our suggestion based on Hafeez Jaunpuri
As you were reading Greed Shayari Shayari