ada pariyon ki soorat hoor ki aankhen ghazaalon ki
garz maange ki har ik cheez hai in husn waalon ki
bajaaye-raks may-khaane mein hai gardish pyaalon ki
takalluf-bar-tarf ye bazm hai allah waalon ki
nishaan jab mit gaya turbat ka aaye faatiha padhne
unhen kab yaad aayi hain wafaayein marne waalon ki
hua do gaz kafan munim ko haasil maal-e-duniya se
bandhi rakhi hi aakhir rah gai gathri doshaalon ki
dukha kar dil mera phir aap hi uzr-e-jafa karna
are kaafir tiri ik chaal hai ye laakh chaalon ki
abhi tum ko bahut kuchh naaz hai tirchi nigaahon par
magar dekhi nahin taaseer tum ne mere naalon ki
tire hote hue ye baat ghairat ki hai o zalim
udaaye aasmaan yun khaak teri paayemaalon ki
bhale hain ya bure jo kuchh hain bande to khuda ke hain
nadaamat is qadar waiz na kar may-khaane waalon ki
hui bauchaar mujh par shikwa-e-beja ki phir kya kya
jahaan chheda unhen bas khul gai gathri malaalon ki
gunahgaar-e-mohabbat hain jidhar guzarenge mahshar mein
hamaare saath saath ik bheed hogi khush-jamaalon ki
farishton se hafiz ik din lahd mein guftugoo hogi
abhi se fikr laazim hai tumhein un ke sawaalon ki
अदा परियों की सूरत हूर की आँखें ग़ज़ालों की
ग़रज़ माँगे की हर इक चीज़ है इन हुस्न वालों की
बजाए-रक़्स मय-ख़ाने में है गर्दिश प्यालों की
तकल्लुफ़-बर-तरफ़ ये बज़्म है अल्लाह वालों की
निशाँ जब मिट गया तुर्बत का आए फ़ातिहा पढ़ने
उन्हें कब याद आई हैं वफ़ाएँ मरने वालों की
हुआ दो गज़ कफ़न मुनइम को हासिल माल-ए-दुनिया से
बंधी रक्खी ही आख़िर रह गई गठरी दोशालों की
दुखा कर दिल मिरा फिर आप ही उज़्र-ए-जफ़ा करना
अरे काफ़िर तिरी इक चाल है ये लाख चालों की
अभी तुम को बहुत कुछ नाज़ है तिरछी निगाहों पर
मगर देखी नहीं तासीर तुम ने मेरे नालों की
तिरे होते हुए ये बात ग़ैरत की है ओ ज़ालिम
उड़ाए आसमाँ यूँ ख़ाक तेरी पाएमालों की
भले हैं या बुरे जो कुछ हैं बंदे तो ख़ुदा के हैं
नदामत इस क़दर वाइज़ न कर मय-ख़ाने वालों की
हुई बौछार मुझ पर शिकवा-ए-बेजा की फिर क्या क्या
जहाँ छेड़ा उन्हें बस खुल गई गठरी मलालों की
गुनहगार-ए-मोहब्बत हैं जिधर गुज़़रेंगे महशर में
हमारे साथ साथ इक भीड़ होगी ख़ुश-जमालों की
फ़रिश्तों से 'हफ़ीज़' इक दिन लहद में गुफ़्तुगू होगी
अभी से फ़िक्र लाज़िम है तुम्हें उन के सवालों की
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Hafeez Jaunpuri
our suggestion based on Hafeez Jaunpuri
As you were reading Ghamand Shayari Shayari