chaak-e-daamaan na raha chaak-e-garebaan na raha | चाक-ए-दामाँ न रहा चाक-ए-गरेबाँ न रहा

  - Hafeez Jaunpuri

chaak-e-daamaan na raha chaak-e-garebaan na raha
phir bhi poshida mera haal-e-pareshaan na raha

bazm-e-dushman na kabhi darham-o-barham dekhi
kya tira daur vo ai gardish-e-dauraan na raha

mujh ko afsos ki vo aur adoo ke bas mein
us ko ye gham ki mera ab koi pursaan na raha

ham ne jo baat kahi thi wahi aakhir ko hui
tum ne jo raaz chhupaaya tha vo pinhaan na raha

mufail tark-e-wafa ne mujhe barson rakha
chaar din apne kiye par vo pashemaan na raha

un ki shokhi bhi hui hai meri vehshat ka jawaab
haath daala jo garebaan mein garebaan na raha

ban gai daagh kaleje ka tamanna-e-visaal
daagh-e-hasrat ke siva ab koi armaan na raha

khair sab qaul-o-qasam jhooth sahi khush rahiye
ab mere aap ke vo ahad vo paimaan na raha

rokne ko mujhe ghairat ke siva is dar par
koi darbaan na raha koi nigahbaan na raha

mit gaya shaghl-e-junoon ab vo kahaan jaama-dari
zor vehshat ka bhi ab dast-o-garebaan na raha

chaar jhidki mein tire dar se alag ho baitha
gair kuchh roz bhi minnat-kash-e-darbaan na raha

waqt ko haath se kho kar koi duniya mein hafiz
umr-bhar meri tarah sar-b-garebaan na raha

चाक-ए-दामाँ न रहा चाक-ए-गरेबाँ न रहा
फिर भी पोशीदा मिरा हाल-ए-परेशाँ न रहा

बज़्म-ए-दुश्मन न कभी दरहम-ओ-बरहम देखी
क्या तिरा दौर वो ऐ गर्दिश-ए-दौराँ न रहा

मुझ को अफ़्सोस कि वो और अदू के बस में
उस को ये ग़म कि मिरा अब कोई पुरसाँ न रहा

हम ने जो बात कही थी वही आख़िर को हुई
तुम ने जो राज़ छुपाया था वो पिन्हाँ न रहा

मुन्फ़इल तर्क-ए-वफ़ा ने मुझे बरसों रक्खा
चार दिन अपने किए पर वो पशेमाँ न रहा

उन की शोख़ी भी हुई है मिरी वहशत का जवाब
हाथ डाला जो गरेबाँ में गरेबाँ न रहा

बन गई दाग़ कलेजे का तमन्ना-ए-विसाल
दाग़-ए-हसरत के सिवा अब कोई अरमाँ न रहा

ख़ैर सब क़ौल-ओ-क़सम झूट सही ख़ुश रहिए
अब मिरे आप के वो अहद वो पैमाँ न रहा

रोकने को मुझे ग़ैरत के सिवा इस दर पर
कोई दरबाँ न रहा कोई निगहबाँ न रहा

मिट गया शग़्ल-ए-जुनूँ अब वो कहाँ जामा-दरी
ज़ोर वहशत का भी अब दस्त-ओ-गरेबाँ न रहा

चार झिड़की में तिरे दर से अलग हो बैठा
ग़ैर कुछ रोज़ भी मिन्नत-कश-ए-दरबाँ न रहा

वक़्त को हाथ से खो कर कोई दुनिया में 'हफ़ीज़'
उम्र-भर मेरी तरह सर-ब-गरेबाँ न रहा

  - Hafeez Jaunpuri

Raaz Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Hafeez Jaunpuri

As you were reading Shayari by Hafeez Jaunpuri

Similar Writers

our suggestion based on Hafeez Jaunpuri

Similar Moods

As you were reading Raaz Shayari Shayari