haaye ab kaun lagi dil ki bujhaane aaye | हाए अब कौन लगी दिल की बुझाने आए

  - Hafeez Jaunpuri

haaye ab kaun lagi dil ki bujhaane aaye
jin se ummeed thi aur aag lagaane aaye

dard-mandon ki yun hi karte hain hamdardi log
khoob hans hans ke hamein aap rulaane aaye

khat mein likhte hain ki furqat nahin aane ki hamein
is ka matlab to ye hai koi manaane aaye

aankh neechi na hui bazm-e-aduu mein ja kar
ye dhitaaee ki nazar ham se milaane aaye

taane be-sabr yun ke haaye tashaffi ke evaz
aur dikhte hue dil ko vo dukhaane aaye

aur to sab ke liye hai teri mehfil mein jagah
ham jo baitheen abhi darbaan uthaane aaye

chutkiyaan lene ko pahluu mein raha ek na ek
tu nahin to tere armaan sataane aaye

bekasi ka to jala dil meri turbat pe hafiz
kya hua vo na agar sham'a jalane aaye

हाए अब कौन लगी दिल की बुझाने आए
जिन से उम्मीद थी और आग लगाने आए

दर्द-मंदों की यूँ ही करते हैं हमदर्दी लोग
ख़ूब हँस हँस के हमें आप रुलाने आए

ख़त में लिखते हैं कि फ़ुर्सत नहीं आने की हमें
इस का मतलब तो ये है कोई मनाने आए

आँख नीची न हुई बज़्म-ए-अदू में जा कर
ये ढिटाई कि नज़र हम से मिलाने आए

ता'ने बे-सब्र यूँ के हाए तशफ़्फ़ी के एवज़
और दिखते हुए दिल को वो दुखाने आए

और तो सब के लिए है तेरी महफ़िल में जगह
हम जो बैठें अभी दरबान उठाने आए

चुटकियाँ लेने को पहलू में रहा एक न एक
तू नहीं तो तेरे अरमान सताने आए

बेकसी का तो जला दिल मिरी तुर्बत पे 'हफ़ीज़'
क्या हुआ वो न अगर शम्अ' जलाने आए

  - Hafeez Jaunpuri

Chehra Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Hafeez Jaunpuri

As you were reading Shayari by Hafeez Jaunpuri

Similar Writers

our suggestion based on Hafeez Jaunpuri

Similar Moods

As you were reading Chehra Shayari Shayari