yun utha de hamaare jee se garz | यूँ उठा दे हमारे जी से ग़रज़

  - Hafeez Jaunpuri

yun utha de hamaare jee se garz
ho na tere siva kisi se garz

vo manaayega jis se roothe ho
ham ko minnat se aajizi se garz

ye bhi ehsaan hai qanaat ka
apni atki nahin kisi se garz

ye mahal bhi maqaam-e-ibrat hai
aadmi ko ho aadmi se garz

dard-mandon ko kya dava se kaam
gham-nasibo ko kya khushi se garz

husn aaraishon ka ho muhtaaj
us ko aaine aarsi se garz

choor hain nashsha-e-mohabbat mein
may se matlab na may-kashi se garz

der tak deed ke maze loote
khoob nikli ye be-khudi se garz

be-niyaazi ki shaan hi ye nahin
us ko bandon ki bandi se garz

teri khaatir aziz hai warna
mujh ko dushman ki dosti se garz

ham mohabbat ke bande hain wa'iz
ham ko kya bahs mazhabi se garz

dair ho ka'ba ho kaleesa ho
us ki dhun us ki bandagi se garz

shaikh ko is qadar pilaate kyun
may-kashon ko thi dil-lagi se garz

us ko samjho na hazz-e-nafs hafiz
aur hi kuchh hai shaay'ri se garz

यूँ उठा दे हमारे जी से ग़रज़
हो न तेरे सिवा किसी से ग़रज़

वो मनाएगा जिस से रूठे हो
हम को मिन्नत से आजिज़ी से ग़रज़

ये भी एहसान है क़नाअत का
अपनी अटकी नहीं किसी से ग़रज़

ये महल भी मक़ाम-ए-इबरत है
आदमी को हो आदमी से ग़रज़

दर्द-मंदों को क्या दवा से काम
ग़म-नसीबों को क्या ख़ुशी से ग़रज़

हुस्न आराइशों का हो मुहताज
उस को आईने आरसी से ग़रज़

चूर हैं नश्शा-ए-मोहब्बत में
मय से मतलब न मय-कशी से ग़रज़

देर तक दीद के मज़े लूटे
ख़ूब निकली ये बे-ख़ुदी से ग़रज़

बे-नियाज़ी की शान ही ये नहीं
उस को बंदों की बंदी से ग़रज़

तेरी ख़ातिर अज़ीज़ है वर्ना
मुझ को दुश्मन की दोस्ती से ग़रज़

हम मोहब्बत के बंदे हैं वाइ'ज़
हम को क्या बहस मज़हबी से ग़रज़

दैर हो का'बा हो कलीसा हो
उस की धुन उस की बंदगी से ग़रज़

शैख़ को इस क़दर पिलाते क्यूँ
मय-कशों को थी दिल-लगी से ग़रज़

उस को समझो न हज़्ज़-ए-नफ़स 'हफ़ीज़'
और ही कुछ है शाइ'री से ग़रज़

  - Hafeez Jaunpuri

Friendship Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Hafeez Jaunpuri

As you were reading Shayari by Hafeez Jaunpuri

Similar Writers

our suggestion based on Hafeez Jaunpuri

Similar Moods

As you were reading Friendship Shayari Shayari